Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   sitam me kami late ho kyon.. (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78421)

Madhu 14 21st December 2014 12:01 AM

sitam me kami late ho kyon..
 
sitam meiN kami laatey ho kyuN!
meri aah pe daude chaly aate ho kyuN

Nahi de sakte jo mohabbat mujhe
Dard ki raah par sang jaatey ho kyon

gar meri nahi hai zaroorat tumhe
Bheed me tanha khud ko paate ho kyon...

Kehte ho hamesha ki maiN khush rahooN
Door jaa ke mujhe fir sataate ho kyon.

Teri yaad se jo niklna bhi chahoon..
Aur bhi dhadkno me samaate ho kyon..

tumhi ne sikhaya hai ‘madhu’ ko muskrana..
yoon rooth kar us ko rulaate ho kyon...

Sagar Aashna 21st December 2014 02:01 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 473183)

Madhu ji, Namaskar !

Har ek sheyr pe alag alag se daad.. Bohot he umdaa likha hai. Aapko paRh kar dil khush ho jata hai. Simple ilfaaz mein bhi itni umdaa shayari, ke jawab nahi. Yunhi mehfil mein aati rahein.

DuaaoN ke saath.

SAGAR AASHNA

sameer'shaad' 22nd December 2014 02:58 PM

waaahhh madhu jji baahot sunder peshkash hai aapki..........

bahot ajeebb se aur pyaaare se shiqve kiye hain aapne isme..... subhaan allah

likhtii rahiye

Shaad...

sunita thakur 22nd December 2014 04:06 PM

Dear Madhu....bahut kuch aisa hai aapki shayri meiN jo bahut kuch dabey lafzoN meiN keh jaati ho aap...aapko pad kar sakoon milta hai...khush rho...yu hi likhti rho.

god bless u

Hassan 24th December 2014 12:29 AM

tumhi ne sikhaya hai ‘madhu’ ko muskrana..
yoon rooth kar us ko rulaate ho kyon...

Madhu jee..

waaaaaah... bohat umdaH ghazal huii hy....
maqta behad pasand aaya..

teh-e-dil se nikli beshumaar daad qaabol kejiye...

maikasH 24th December 2014 03:14 AM

Madhu ji, namaskaar

pehli baar aapko padhne ka fakhr haasil hua hai (jee, Ye meri nalaayiqui hai) aur yaqeen jaaniye aapki is kaavish se bohat mutaasir hua hooN

daad aur mubarakbaad par aapka haq sau fee sadi ban'ta hai to qabool kijiye

mashq jaari rakhiye, aap bohat khoob likhti haiN

Rab raakha
Maikash

Hamdam 24th December 2014 11:02 AM

Waah madhu ji waaaaah kya ravangee hoti hai aap ki ghazaloN meiN.
Bahut sunder aur gehre ehsaas ...Maqta tau lajawab tha aapka.

YuN hi likjti rahiye aur is bazm ki raunak badate rahiye.

Sanjay Sehgal

Madhu 14 24th December 2014 01:14 PM

Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 473189)
Madhu ji, Namaskar !

Har ek sheyr pe alag alag se daad.. Bohot he umdaa likha hai. Aapko paRh kar dil khush ho jata hai. Simple ilfaaz mein bhi itni umdaa shayari, ke jawab nahi. Yunhi mehfil mein aati rahein.

DuaaoN ke saath.

SAGAR AASHNA

Bahut bahut shukriya sagar ji...aapke dil ko khushi pahunchi
ye jaan kar mujhe khushi huyi ..yoon hi sath dete rahiye..
khush rahiye.....

bhushan 26th December 2014 09:45 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 473183)
sitam meiN kami laatey ho kyuN!
meri aah pe daude chaly aate ho kyuN

Nahi de sakte jo mohabbat mujhe
Dard ki raah par sang jaatey ho kyon

gar meri nahi hai zaroorat tumhe
Bheed me tanha khud ko paate ho kyon...

Kehte ho hamesha ki maiN khush rahooN
Door jaa ke mujhe fir sataate ho kyon.

Teri yaad se jo niklna bhi chahoon..
Aur bhi dhadkno me samaate ho kyon..

tumhi ne sikhaya hai ‘madhu’ ko muskrana..
yoon rooth kar us ko rulaate ho kyon...

Madhu ji Behad umda....khoobsurat.......aur......muhabbat se saraboor gazal kahi aapne...
Bohot pasand aai ye peshkash...
Daad kubul kijiyega

mujib66 29th December 2014 04:11 PM

Bade achhe achhe ashaar kahe hain Madhu Sahiba aapne.

Kehte ho hamesha ki maiN khush rahooN
Door jaa ke mujhe fir sataate ho kyon.

Teri yaad se jo niklna bhi chahoon..
Aur bhi dhadkno me samaate ho kyon..

Wah..mazah agaya

Mujeeb Parwaaz

Madhu 14 2nd February 2015 07:23 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 473200)
waaahhh madhu jji baahot sunder peshkash hai aapki..........

bahot ajeebb se aur pyaaare se shiqve kiye hain aapne isme..... subhaan allah

likhtii rahiye

Shaad...

Pasandigi ke liye bahut bahut shukriya shaad jee....
khush rahiye..
aate rahiye..

Madhu 14 20th March 2015 10:38 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 473202)
Dear Madhu....bahut kuch aisa hai aapki shayri meiN jo bahut kuch dabey lafzoN meiN keh jaati ho aap...aapko pad kar sakoon milta hai...khush rho...yu hi likhti rho.

god bless u

Bahut bahut shukriya di...aap ki daad pakar dil khush ho jata hai.....yoon hee sath banaye rakhiye..
aati rahiye....:)

aru 21st March 2015 01:29 PM

madhu jee...kya baat hai....deri se reply ke liye maafi chahta hu....par aisa lag rha tha jaise ko mujhse apna dard bayaan kar raha hai.....loved it...

Madhu 14 5th April 2015 05:57 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 473214)
tumhi ne sikhaya hai ‘madhu’ ko muskrana..
yoon rooth kar us ko rulaate ho kyon...

Madhu jee..

waaaaaah... bohat umdaH ghazal huii hy....
maqta behad pasand aaya..

teh-e-dil se nikli beshumaar daad qaabol kejiye...

Bahut bahut shukriya...hassan jee..
aate rahein..
khush rahein...:)

masti 8th April 2015 11:33 AM

Madhu ji

kamaal kar diya aapne! itna khoobsurat aur dard bhara hai ye kalaam!

aaj tak ke apke likhe sab kalaamon mein mera tob favourite ban gaya hai ye.

Rajeev Sharma 8th April 2015 02:58 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 473183)
sitam meiN kami laatey ho kyuN!
meri aah pe daude chaly aate ho kyuN

Nahi de sakte jo mohabbat mujhe
Dard ki raah par sang jaatey ho kyon

gar meri nahi hai zaroorat tumhe
Bheed me tanha khud ko paate ho kyon...

Kehte ho hamesha ki maiN khush rahooN
Door jaa ke mujhe fir sataate ho kyon.

Teri yaad se jo niklna bhi chahoon..
Aur bhi dhadkno me samaate ho kyon..

tumhi ne sikhaya hai ‘madhu’ ko muskrana..
yoon rooth kar us ko rulaate ho kyon...

waah waaah Madhu ji.............. dil me utarti har line...bahut khubbbb
ek ek shabd dil ko chhutaa huaa.............likhte raheN....

Madhu 14 13th June 2015 12:32 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 473215)
Madhu ji, namaskaar

pehli baar aapko padhne ka fakhr haasil hua hai (jee, Ye meri nalaayiqui hai) aur yaqeen jaaniye aapki is kaavish se bohat mutaasir hua hooN

daad aur mubarakbaad par aapka haq sau fee sadi ban'ta hai to qabool kijiye

mashq jaari rakhiye, aap bohat khoob likhti haiN

Rab raakha
Maikash

Adaab maikash ji...

Sabse pahle to mafi chahti hoon ki..itni der se jawaab de rahi hoon...aaj achanak nazar padi to behad sharmindgi huyi ki aap jaise aala hazrat mere kalaam par aaye aur main shukriya ada karna bhi bhool gayi.....
aapko mera ye mamooli sa kalaam pasand aaya te meri khushkusmti hai janaab...yakeen maniye aapki daad ne hausla dugna kar diya hai.....bahut shukriya aapka...
Apna keemti vaqt nikal kar aate rahiyega yahi guzarish hai aapse..

Mashq beshak jaari rahega......:)
salamat rahein..

Madhu 14 24th March 2017 11:40 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 473222)
Waah madhu ji waaaaah kya ravangee hoti hai aap ki ghazaloN meiN.
Bahut sunder aur gehre ehsaas ...Maqta tau lajawab tha aapka.

YuN hi likjti rahiye aur is bazm ki raunak badate rahiye.

Sanjay Sehgal

Mafi chahti hun sanjay ji Jane kaise reply nahi kiya ....

Koshish karti rahti hun aaj bhi ki kuch likh pain Jo aap San ko pasand aaye...

Aap bhi aaya Karein hausla afzai karne Yahi guzarish hai

Behad shukriya....

Regards

Madhu

Madhu 14 4th May 2020 06:20 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 473267)
Madhu ji Behad umda....khoobsurat.......aur......muhabbat se saraboor gazal kahi aapne...
Bohot pasand aai ye peshkash...
Daad kubul kijiyega

Bhushan ji Dil se shukriya apka...

Salamat rahiye

All times are GMT +5.5. The time now is 03:55 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.