Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   teri YAAD aati hai...! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=55448)

Taish 21st March 2007 11:10 PM

teri YAAD aati hai...!
 
Bazm ko is nacheez "ghayal" ka salaam, aaj muddatoN baad badi dil se koi nazm likhi hai, umeed karta huN sabko pasand aayegi....!

Tune hume faramosh kar diya,, par hum na tujhe bhulaa sake,, apno ne rusva kiya hume,, gair kahaaN ye dil dukhaa sake,, lakh aaye! gumoN ke baadal,, par in aNkhiyaN ko na rulaa sake,, ab hijr-e-yaar ki duaa karte haiN,, aakhir dushmani jo tehri asar se duaa ko,, aaj karte haiN hum v guzarish sabse,, eh ahal-e-bazm humko bhulaa do….!

Haan sach bhulaa do…!

Teri yaad aati hai,

Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

Kabhi chubhati,kabhi gudgudati hai,
Teri yaad aati hai…!

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Kabhi rulaati, kabhi haNsaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

Kabhi jalaati, kabhi bujhaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Kabhi chupaati hai, kabhi dikhaati hai,
Teri yaad aati hai….!

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

Kabhi bhulaati, kabhi apnaati hai,
Teri yaad aati hai….!

beena_sitare 22nd March 2007 12:21 PM

Tere jane ka gum bhulaata hooN,To tere aane ki yaad aati hai. ..VERY NICE GHAYAL SHAYAR JI .. kisi ki yado ko bahut achhi tarah se pesh kiya he .. ye yad chij hi esi he ,.. anyway aage b likhte rahiyega aur apni feelings hum sab ke sath share karte rahiyega .. take care ..

Ek Ehsaas 22nd March 2007 01:09 PM

Ek Baat kahein Ghayal Ji,,,

Aapko bahut achha likhte hain...
Humne ye baat kabhi kisi se nahi kahi par I think I like reading ur creations....

"mana ki ilzam tumne hum pe bewfai ka lagaya he ..per galti to us khuda ki he jisne aapke hatho me meri jagah ye zaam thamaya he .. Hum to aaye hi the aapke pas lautkar ki bus ab hum tumhare he .. Per kya kahte jab dekha hamari jagah tumne ise hotho se lagaya he"

TariqAhmadAzmi 23rd March 2007 06:56 PM

Quote:

Originally Posted by ghayal_shayar (Post 227557)

Ghayal ji aapko shaan ka salam,

Aapne apne ahsas ko bahut khubsurti ke saath pesh kiya hai apne un lamhon ko kalam band kiya hai,

Gum nahi ki usne hume bhulaya
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga

y 4 mishre mujhe mujhe bahut hi pasand aaye, waise aapke saari rachna hi bahut achee hai,
such hai kisi se juda hona asan nahi hota hai..
Hum to bas yahi kahege ki aap hamesha likhte rahe,
or kush rahen muskurate rahe..:)

take care
SHAAN

Merul 24th March 2007 12:35 PM

hi ghayal ji,
kese hai aap?

ghayal ji aaaj to aapne kamal hi kar diya,
ghayal ji aaj aapko ek bat batau aapne jo yaha apna naam rakha hai ki ghayal shayar use padhke hi ek dard dil mein peda hota hai ki koi bewafaa ne aapko ye likhne pe majbur kiya hai par aaj aap jis andaaz mein hamare samne nazar aaye ho kya kahe aapko...

aur baat rahi aapki rachna ki wo to hazaron mein ek hai aapne jis khubsurati se apna dard aur pyar yaha bayan kiya hai wo hamein bahut hi pasand aaya hai. khas karke wo koshish jis mein aapne apne pyaar ka dard aur usi dard ke ghaw pe pyar ki dawa...

esi kuch koshish jo aapki hamari aankho hi nahi dil ko bhi chhui hai...

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.

Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

GHAYAL JI mein to kehta hu aapki puri rachna hi hamare dil mein aaj basi hai

kuch hamari taraf se bhi aapki rachna pe....

Raat hui jab sham ke bad,
Teri yaad aai har baat ke bad,
Humne khamosh rehkar bhi dekha,
Teri aawaz aai har sans ke bad.

Kab dil teri yaad mein chur nahin hota,
Kab tujse milne ko dil majbur nahin hota,
Ye sach hai zindagi mein dil usi ka tutta hai,
Jiska koi kasur nahin hota.

ghayal ji aapki rachna ko padhke jo mukarte the aaj aapki rachna se unka bhi sir juka hoga

ese hi likhte rehna aur mehfil mein ujala karte rehna
aapka dost
Merul

reena 24th March 2007 01:31 PM

bah bahut khub, vaise har shabd dil ki gaharai tak pahucha hai par
Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

ye panktiyan tau dil me sama gayi. hum tau aapki tareef ke layak ke bhi shabd bhi la sakte . Thanks a lot 4 sharing vth us
reena

Taish 26th March 2007 05:42 PM

Quote:

Originally Posted by beena_sitare (Post 227590)
Tere jane ka gum bhulaata hooN,To tere aane ki yaad aati hai. ..VERY NICE GHAYAL SHAYAR JI .. kisi ki yado ko bahut achhi tarah se pesh kiya he .. ye yad chij hi esi he ,.. anyway aage b likhte rahiyega aur apni feelings hum sab ke sath share karte rahiyega .. take care ..

shukriya beena ji ise padhne aur iske jazbaatoN ko samjhne ke liye, bas yuNhi hume padhne ki jehmat aap uthati raheN...!

dilip200 29th March 2007 04:24 PM

janab ghayal sahab aadab
amaa.n yaar ye xray kyun chipka rakha hai
:D
mazak kar raha hoon
ab jara gazal par aa jaye.n

Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

waah bhai waah kya aagaz hai bahut khoob

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

kamal hai

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

waaaaaaah kya baat hai kash pahle misre mian bhii kuch tannum ban patii

Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

janab is sher per to ek sher yad aa raha hai

waqt ban jata hai har zakhm ka marham lekin
zakhm dil ka nahi hota kabhii bharne bala

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

ab janab ye to apni moti buddi main nahi aaya aap hi samajhaiyegaa

daad hazir hai kabool farmaiyegaa

shukriyaa

dilip

tanno_1712 29th March 2007 08:00 PM

hi,
kafi dino baad kuch acha padne mila hai, dil k sath sath ruhh bhi kush ho gayi hai.
very good.
keep writing.
tanno

Taish 31st March 2007 06:11 PM

Quote:

Originally Posted by Widhani (Post 227596)
Ek Baat kahein Ghayal Ji,,,

Aapko bahut achha likhte hain...
Humne ye baat kabhi kisi se nahi kahi par I think I like reading ur creations....

"mana ki ilzam tumne hum pe bewfai ka lagaya he ..per galti to us khuda ki he jisne aapke hatho me meri jagah ye zaam thamaya he .. Hum to aaye hi the aapke pas lautkar ki bus ab hum tumhare he .. Per kya kahte jab dekha hamari jagah tumne ise hotho se lagaya he"

amit sahab shukriya is baraai ka, waise guzarish rahegi ki aap aage v yuNhi hume padhne ka kasht
karte raheN...!

Taish 31st March 2007 06:45 PM

Quote:

Originally Posted by TariqAhmadAzmi (Post 227647)
Ghayal ji aapko shaan ka salam,

Aapne apne ahsas ko bahut khubsurti ke saath pesh kiya hai apne un lamhon ko kalam band kiya hai,

Gum nahi ki usne hume bhulaya
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga

y 4 mishre mujhe mujhe bahut hi pasand aaye, waise aapke saari rachna hi bahut achee hai,
such hai kisi se juda hona asan nahi hota hai..
Hum to bas yahi kahege ki aap hamesha likhte rahe,
or kush rahen muskurate rahe..:)

take care
SHAAN

shukriya shaan bhai, humari khuskismati ki is nacheez ka likha ek baar fir aapko pasand aaya, umeed karta huN ki aap yuNhi humari mehfiloN ki raunak badhate rahiyega...!

munfairy 31st March 2007 10:25 PM

Frnd 4 Ever
 
AADAB GHAYAL JI,
kaise hai aap?

janab aapki tarif karne kE liye is waqt hamare paas koi alfaaz nahi hai,,
wese apki shaan me sabhi ne sab kuch keh diya he,:)

hum sirf itna hi kahenge.

MASHA ALLAH.

ALLAH aur tarakki de aapko.AAMIN

apna khayal rakhiye
ALLAH HAFIZ

()""""()()""""()
( ,'o' ) ( ,'o' )
(,) (,) (,) (,)

SoNY _ HASSAN
forever..
and ever and ever!

**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´

Taish 6th April 2007 05:07 PM

Quote:

Originally Posted by Merul (Post 227665)
hi ghayal ji,
kese hai aap?

ghayal ji aaaj to aapne kamal hi kar diya,
ghayal ji aaj aapko ek bat batau aapne jo yaha apna naam rakha hai ki ghayal shayar use padhke hi ek dard dil mein peda hota hai ki koi bewafaa ne aapko ye likhne pe majbur kiya hai par aaj aap jis andaaz mein hamare samne nazar aaye ho kya kahe aapko...

aur baat rahi aapki rachna ki wo to hazaron mein ek hai aapne jis khubsurati se apna dard aur pyar yaha bayan kiya hai wo hamein bahut hi pasand aaya hai. khas karke wo koshish jis mein aapne apne pyaar ka dard aur usi dard ke ghaw pe pyar ki dawa...

esi kuch koshish jo aapki hamari aankho hi nahi dil ko bhi chhui hai...

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.

Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

GHAYAL JI mein to kehta hu aapki puri rachna hi hamare dil mein aaj basi hai

kuch hamari taraf se bhi aapki rachna pe....

Raat hui jab sham ke bad,
Teri yaad aai har baat ke bad,
Humne khamosh rehkar bhi dekha,
Teri aawaz aai har sans ke bad.

Kab dil teri yaad mein chur nahin hota,
Kab tujse milne ko dil majbur nahin hota,
Ye sach hai zindagi mein dil usi ka tutta hai,
Jiska koi kasur nahin hota.

ghayal ji aapki rachna ko padhke jo mukarte the aaj aapki rachna se unka bhi sir juka hoga

ese hi likhte rehna aur mehfil mein ujala karte rehna
aapka dost
Merul

shukriya meul sahab is bande ko itni ahamiyat nawaazne ke liye, umeed karta huN ki aap aage v yuNhi likhte aur is nacheez ko padhte raheN....! aur humari mehfiloN ki raunak badhaate raheN...!

Taish 6th April 2007 05:10 PM

Quote:

Originally Posted by reena (Post 227667)
bah bahut khub, vaise har shabd dil ki gaharai tak pahucha hai par
Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

ye panktiyan tau dil me sama gayi. hum tau aapki tareef ke layak ke bhi shabd bhi la sakte . Thanks a lot 4 sharing vth us
reena

ek baar fir se hume pasand karne ka aur padhne ka behad shukriya reena ji, kya kareN yahi sachhai hai, jab v sochte haiN ki kahiN koi bewafa hai, to yahi baat aati hai dil me, ki shayad kuch humse chupa reh gaya, kyuNki bewafa to koi hota hi nahi yahaaN to sirf wafa pyar aur mohabbat hoti hai aur kuch v nahi, bas umeed karte haiN ki aap aage v is nacheez ko yuNhi padhte rehne ki umeed karta huN...!

sunita thakur 10th April 2007 12:39 PM

bahut khoob likha hai lucky....bahut asaani se esko gungunya ja sakta hai...acchey flow mwin hai....ek geet sa lagga..padkar gungunane ko man hua...nice.

god bless u

koi to ho 10th April 2007 11:01 PM

Quote:

Originally Posted by ghayal_shayar (Post 227557)
Bazm ko is nacheez "ghayal" ka salaam, aaj muddatoN baad badi dil se koi nazm likhi hai, umeed karta huN sabko pasand aayegi....!

Tune hume faramosh kar diya,, par hum na tujhe bhulaa sake,, apno ne rusva kiya hume,, gair kahaaN ye dil dukhaa sake,, lakh aaye! gumoN ke baadal,, par in aNkhiyaN ko na rulaa sake,, ab hijr-e-yaar ki duaa karte haiN,, aakhir dushmani jo tehri asar se duaa ko,, aaj karte haiN hum v guzarish sabse,, eh ahal-e-bazm humko bhulaa do….!

Haan sach bhulaa do…!

Teri yaad aati hai,

Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

Kabhi chubhati,kabhi gudgudati hai,
Teri yaad aati hai…!

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Kabhi rulaati, kabhi haNsaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

Kabhi jalaati, kabhi bujhaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Kabhi chupaati hai, kabhi dikhaati hai,
Teri yaad aati hai….!

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

Kabhi bhulaati, kabhi apnaati hai,
Teri yaad aati hai….!

shayri bohat achi hai ghayal sahib .... per mujhe ye parrh ker ajeeb dard sa mehsoos howa lekin aap ne jis tarah yaadon aur tanhai ko alfaz diye main jitni tareef karun kam hai bohat acha likha hai aap ne keep writing

Taish 13th April 2007 05:47 PM

Quote:

Originally Posted by dilip200 (Post 227911)
janab ghayal sahab aadab
amaa.n yaar ye xray kyun chipka rakha hai
:D
mazak kar raha hoon
ab jara gazal par aa jaye.n

Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

waah bhai waah kya aagaz hai bahut khoob

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

kamal hai

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

waaaaaaah kya baat hai kash pahle misre mian bhii kuch tannum ban patii

Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

janab is sher per to ek sher yad aa raha hai

waqt ban jata hai har zakhm ka marham lekin
zakhm dil ka nahi hota kabhii bharne bala

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

ab janab ye to apni moti buddi main nahi aaya aap hi samajhaiyegaa

daad hazir hai kabool farmaiyegaa

shukriyaa

dilip

bhai shayad tareef humari haisiyat se jyada hi ho gayi, aur shayad hum is kabil hi na the, bas aage v aap hume yuNhi padhte rahne ki jehmiyat uthate rahiye...!

Taish 13th April 2007 05:51 PM

Quote:

Originally Posted by tanno_1712 (Post 227936)
hi,
kafi dino baad kuch acha padne mila hai, dil k sath sath ruhh bhi kush ho gayi hai.
very good.
keep writing.
tanno

tanno ji,
ye meri khuskismati ki aapko humara likha itna pasand aaya, ki aapne muddatoN baad koi reply post kiya yahaaN, aur aapke ruh ko chu paai gar meri ko line to ye meri kaamyaabi hui...! bas guzarish yahi rahegi ki aap aage v is nacheez ki mehfiloN me shirkat kareN, aur meri mehfiloN ki raunak badha deN...!

aapka
GHAYAL...!

Taish 13th April 2007 05:54 PM

Quote:

Originally Posted by munfairy (Post 228081)
AADAB GHAYAL JI,
kaise hai aap?

janab aapki tarif karne kE liye is waqt hamare paas koi alfaaz nahi hai,,
wese apki shaan me sabhi ne sab kuch keh diya he,:)

hum sirf itna hi kahenge.

MASHA ALLAH.

ALLAH aur tarakki de aapko.AAMIN

apna khayal rakhiye
ALLAH HAFIZ

()""""()()""""()
( ,'o' ) ( ,'o' )
(,) (,) (,) (,)

SoNY _ HASSAN
forever..
and ever and ever!

**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´

aapki khamoshi ki jabaan samajh sakta huN maiN, aur is tareef ka behad shukriya, ye mere alfaazoN ki kaamyaabi hi rahi, jo kahiN aapne apne alfaazoN ko rok liye, bas dil ko behad tasalli mili ki kahiN na kahiN kisi ke dil ko chuaa is kalaam ne, bas guzarish yahi rahegi ki aap aage v hume yuNhi padhti raheN...!

Taish 13th April 2007 05:56 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 228559)
bahut khoob likha hai lucky....bahut asaani se esko gungunya ja sakta hai...acchey flow mwin hai....ek geet sa lagga..padkar gungunane ko man hua...nice.

god bless u

sunita dd ko mera salaam,

bahut dinoN ke baad dd aapke is nacheez ki mehfil me aana huaa, behad khudhi hui dekh kar, ki aapko meri ye adni si kosish pasand aayi, guzarish bas yahi rahegi ki aap aage v hume padhne ki jehmat yuNHi uthati raheN...!

Taish 13th April 2007 06:03 PM

Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 228598)
shayri bohat achi hai ghayal sahib .... per mujhe ye parrh ker ajeeb dard sa mehsoos howa lekin aap ne jis tarah yaadon aur tanhai ko alfaz diye main jitni tareef karun kam hai bohat acha likha hai aap ne keep writing

maafi chahuNga, ki maiN aaj v aapke asli naam se mukhatib nahi huN, waise yakiN maaniye maiN aapko ya kisi ko v ye dard nahi dena chaahta tha, aur agar maiN kahuN to is kalaam me maine tanhaai aur yaadoN ko alfaaz nahi diya hai,

balki ye dikhane ki kosish ki hai ki koi kabhi bewafa nahi hota, bewafa naam ka koi shabd nahi, yahaan sirf wafa hoti hai ya kuch nahi hota, hum jo saamne wale ko bewafa kehte haiN hume unki majboori dekhni chaahiye, maine sirf us insaas me dard talaashne ki kosish ki hai, us insaan ka dard mehsoosh karne ki kosish ki hai jo mera dilbar hai, jisne mujhse sau bewafaai kiN, par aaj v jisse maiN mohabbat karta huN...!

agar kahiN kuch jyada keh gaya huN to humesha maafi ka talabgaar rahuNga, ek nadaan, aawaar, paagal aashiq samajh maaf kar dijiyega...!

All times are GMT +5.5. The time now is 11:49 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.