Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   dil pe moula ki mherbani hai../ (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79740)

mujib66 17th February 2016 01:41 PM

dil pe moula ki mherbani hai../
 
Dil pe moula ki mherbani hai
Dil muhabbat ki raajdhani hai

Khaab hum dono mil ke dekhenge
Jab talak apni zindegani hai

Tumse milte hi bhool jata hun
Apne gham ki jo bhi kahani hai

Kal jo hoga oh dekha jayega
Zindegi aaj to suhani hai

Chod den uske dar se jeena kya
Mout ayegi oh to aani hai

Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai

Saath mera sada nibhaoge
Meri aisi hi khushgumani hai

Us se bhi gehri hai meri chahat
Jitna sagar men gehra pani hai

Har oh tohfa sambhaal ke rakhna
Jo mere pyar ki nishaani hai

Aur Parwaaz likhte jao tum
Dunya ghazlon ki hi diwani hai


By Mujeeb Parwaaz.

Madhu 14 17th February 2016 05:19 PM

Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai

Waaah...
Adaab mujeeb sahab...

Khushi huyi aapko bazm me dekhkar.....bahut pyare ehsason se saja kalaam pesh kiya aapne...

Quoted sher bahut khoob raha...

Daad pesh hai...

Aate rahiyega...

Takecare
Madhu

Qasid 18th February 2016 10:44 AM

Quote:

Originally Posted by mujib66 (Post 491191)
Dil pe moula ki mherbani hai
Dil muhabbat ki raajdhani hai

Khaab hum dono mil ke dekhenge
Jab talak apni zindegani hai

Tumse milte hi bhool jata hun
Apne gham ki jo bhi kahani hai

Kal jo hoga oh dekha jayega
Zindegi aaj to suhani hai

Chod den uske dar se jeena kya
Mout ayegi oh to aani hai

Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai

Saath mera sada nibhaoge
Meri aisi hi khushgumani hai

Us se bhi gehri hai meri chahat
Jitna sagar men gehra pani hai

Har oh tohfa sambhaal ke rakhna
Jo mere pyar ki nishaani hai

Aur Parwaaz likhte jao tum
Dunya ghazlon ki hi diwani hai


By Mujeeb Parwaaz.

Arse baad aapko padhne ka maukaa mil raha hai aur kya nayaab ghazal huyi hai janaab, khaaksaar ki daad qubool farmiyegaa yun to har sher pur asar raha par ek sher par tabiyat se muqarrar awaaz aayi use dohraa de raha hoon...

Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai

Behad umdaa sher janaab.

mujib66 18th February 2016 11:42 AM

Adaab Madhu Saheba

bohut bohut shukriya

aap mashallah barson se sukhangoii se wabastah hain....aur apne qalam ke johar se sukhan nawazon ko mehzooz karti aarahi hain. aap ki daad mere liya besh qeemiti hai.

waise main eh koshish karta hun ke salees urdu men ghazal kahi jaye taake ziyada se ziyada log shayeri ko samjhe ..sher ke mafoom ko samjhen.

ek baar phir aap ki nawazish ka teh dil se shiukriya ada karta hun.

With thanks and regards

Mujeeb

mujib66 18th February 2016 11:49 AM

Adaab Mast Sahab,

aap ka teh dil se shukriya ada karta hun.

Mujh ko bhi barson baad aap ko padh kar behad khushi hui.

yun hi aasaan alfaaz me ghazal keh ne ki koshish ki hai....aap ki daad se lagta hai ke main apni koshish men thoda bohut kamiyaab hua hun.

Cheers!

Take care
Mujeeb

sameer'shaad' 24th February 2016 02:54 PM

waahh janaab mujeeb saahab... arse ke baad aapko padhnaa acchaa lagaa...

behad rawaan ghazal pesh ki hai aapne,... aur khayaalon ka kya kahnaa.....

umadha peshkash ke liye tahe dil se daad pesh hain aapko... aate rahiye

likhte rahiye

Shaad.........

zidd 25th February 2016 07:06 PM

Quote:

Originally Posted by mujib66 (Post 491191)
Dil pe moula ki mherbani hai
Dil muhabbat ki raajdhani hai

Raajdaani lafz halanki bahut munasib nahi hai..magar in hindustani tradition nibh jayega...magar bus nibh hi jayegA...saani ki ek koshish aur honi chaiye.

Khaab hum dono mil ke dekhenge
Jab talak apni zindegani hai

Bahut khoob bhai...sčedha sčedha bolta hua Sher...picture perfect.

Tumse milte hi bhool jata hun
Apne gham ki jo bhi kahani hai

Filmi Sher hai , upar wale Sher ki tarah..,.bahut khoob....aise Sher likhna mazaak nahi...

Kal jo hoga oh dekha jayega
Zindegi aaj to suhani hai

Same here....ek hi series ke Sher ...same tarz liye huye.....bahut khoob....actually geet hai.

Chod den uske dar se jeena kya
Mout ayegi oh to aani hai

I guess , u mean this
ChoD de...uske Dar se jeena kya...???
Bahut badiya bhai....good word play....ye ghazal ka Sher hai...not a Sher of song.

Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai

'Jaldi se'...ye ghazal ki language nahi.....
Bhej do ek aur chitthi tum...likh do ik aur chitthi fauran ab...... aisa kuch try karo...

Magar Sher bahut accha hai

Saath mera sada nibhaoge
Meri aisi hi khushgumani hai

Us se bhi gehri hai meri chahat
Jitna sagar men gehra pani hai

Har oh tohfa sambhaal ke rakhna
Jo mere pyar ki nishaani hai

Aur Parwaaz likhte jao tum
Dunya ghazlon ki hi diwani hai

Dunya gazlon hi ki diwani hai.....ye try karke dekho?


By Mujeeb Parwaaz.

Aapki shayri me ek imandari aur maasomiyat hai....meri taraf se aapko golden daad.

sameer'shaad' 25th February 2016 08:08 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 491372)
Aapki shayri me ek imandari aur maasomiyat hai....meri taraf se aapko golden daad.

masha allah kya baat hai jo aaj mahfil me chaar chaand lag gaye hain huzoor ki aamad se....

behad khushi hui aapko ek zamaane ke baad bazm me maijood dekh kar...
tashreef laate rwhiyega..


shaad...

mujib66 17th October 2016 10:30 PM

Bohut bohut shukriya Sameer Sahab

Duaon ke saath
Mujeeb

kabir_shayer 5th October 2017 07:26 PM

Ek Ek Misra, Ek Ek Sher ne Dil jeet liya Janaab

Keep Writing and sharing ...

God Bless You.......:)

mujib66 8th February 2018 03:59 PM

Bohut bohut shukriya kabir Sahab.

Mujeeb Parwaaz


All times are GMT +5.5. The time now is 08:38 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.