Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Aankh Wale Andhe (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=56747)

Ek Ehsaas 5th July 2007 03:54 PM

Aankh Wale Andhe
 
Kuch log jante hain likhna chod chuka tha par wapas aaya hoon...
Janta Hoon bahut zyada doston ka saath nahin milega isme...Par fir bhi shayad aap samajh payein....
(Nothing Personal)

Jhannum bana diya hai tune mere swarg ko
Aaj shaitano ke yahan numainde bahut hain
Soona pada hai aakash sachaai ka maalik
Jhoothi bediyon mein jakde parinde bahut hain

Rehmat to ho jati Khuda teri yahan bhi
Par dua mein paap ki zindagi maang rahe hain wo
Baksh de apne bachhon ko ae paida karne wale
Tere darbaar mein aaj Andhe bahut hain

Apne Ehsaason ki duhai de rahe hain jo
Hoshmand nahin zara neend mein hain wo aaj
Nazrana to alfaazon ka tune nawaza hai inhe
Jo kagaz diye hain lekin wo gande bahut hain

Kusoor muqaddar ka nahin na hi laqeeron ka dosh hai
Mere Hindustan ke haathon mein Gaddhe hain kai
Kya kare koi gar Rehnuma hi Qatal karne lage
Siyaron ki neeyat wale bande bahut hain

Jis Jannat ko ashqon se seencha tha humne
Us jannat mein fansi ke fande bahut hain
Ashq ponchne ko bhale hi aanchal na ho yahan
Maiyatein uthane ke liye Kandhe bahut hain

Kya Shikwe kya ruswaiyan karoon inse main bhi aaj
Ye badnaseeb to khud bhi parde mein hain
Maaf karde inhe ae-Khuda ye dekh nahin sakte
Teri mehfil mein aankh wale Andhe Bahut hain
Teri mehfil mein aankh wale Andhe Bahut hain.....

sunita thakur 12th July 2007 12:53 PM

Quote:

Originally Posted by Widhani (Post 237769)

amit ji aapki nazam bahut acchi lagi....ahsaas bhi khoobsurat lage....yu hi mahfil sajate rahiye....!

god bless u

Ek Ehsaas 12th July 2007 01:48 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 238475)
amit ji aapki nazam bahut acchi lagi....ahsaas bhi khoobsurat lage....yu hi mahfil sajate rahiye....!

god bless u

Thanks Sunita Di. Waise kal aapko B'day wish kiya tha par pata nahin aapko message mila ya nahin.

Happy B'day one more time...

sunita thakur 12th July 2007 01:58 PM

Quote:

Originally Posted by Widhani (Post 238483)
Thanks Sunita Di. Waise kal aapko B'day wish kiya tha par pata nahin aapko message mila ya nahin.

Happy B'day one more time...

amit ji aapki wish mil gaye thi....maine usi post par aapko reply bhi kiya tha...shayd aapne pada nahi....thanks again

aapko bhi dii likhtey dekh bahut accha laga....yeh ahsaas hi hai.n jo humey ek doosrey ke kareeb le aatey hai.n....kush raho

god bless u

Ek Ehsaas 12th July 2007 08:43 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 238488)
amit ji aapki wish mil gaye thi....maine usi post par aapko reply bhi kiya tha...shayd aapne pada nahi....thanks again

aapko bhi dii likhtey dekh bahut accha laga....yeh ahsaas hi hai.n jo humey ek doosrey ke kareeb le aatey hai.n....kush raho

god bless u

Maine rishte banana chod diya tha di. Family histry aur relationships ne kabhi mere saath wafa nahin kiya... Aur bhai behan ka rishta kya hota hai ye to main kabhi samjha hi nahin. Akela raha hoon na. Aur jab bhi bahar riste dhoondne ki koshish ki, dutkaar diya gaya.
Yahan bhi kuch...

Par aap sab bahut achhe hain. Thanks for being there.....

Ek Ehsaas 17th September 2008 08:22 PM

Quote:

Originally Posted by Widhani (Post 238521)
Maine rishte banana chhod diya tha di. Family history aur relationships ne kabhi mere saath wafa nahin kiya... Aur bhai behan ka rishta kya hota hai ye to main kabhi samjha hi nahin. Akela raha hoon na. Aur jab bhi bahar riste dhoondne ki koshish ki, dutkaar diya gaya.
Yahan bhi kuch...

Kabhi kaha tha ki maine rishte banana chhod diya hai par aaj bahut proudly kehta hu ki shayri.com ne bahut hi khoobsurat dost diye. Bahut hi azeez aur bahut kareeb. I love u all SDC members. And thanks for being my family....

Dard-e-sush 17th September 2008 08:37 PM

...
 
Priy Amit

Bahut achi lagi aapki rachna...

God Bless
Regards
Susheel

koi to ho 17th September 2008 09:22 PM

Quote:

Originally Posted by Widhani (Post 237769)
Kuch log jante hain likhna **** chuka tha par wapas aaya hoon...
Janta Hoon bahut zyada doston ka saath nahin milega isme...Par fir bhi shayad aap samajh payein....
(Nothing Personal)

Jhannum bana diya hai tune mere swarg ko
Aaj shaitano ke yahan numainde bahut hain
Soona pada hai aakash sachaai ka maalik
Jhoothi bediyon mein jakde parinde bahut hain

Rehmat to ho jati Khuda teri yahan bhi
Par dua mein paap ki zindagi maang rahe hain wo
Baksh de apne bachhon ko ae paida karne wale
Tere darbaar mein aaj Andhe bahut hain

Apne Ehsaason ki duhai de rahe hain jo
Hoshmand nahin zara neend mein hain wo aaj
Nazrana to alfaazon ka tune nawaza hai inhe
Jo kagaz diye hain lekin wo gande bahut hain

Kusoor muqaddar ka nahin na hi laqeeron ka dosh hai
Mere Hindustan ke haathon mein Gaddhe hain kai
Kya kare koi gar Rehnuma hi Qatal karne lage
Siyaron ki neeyat wale bande bahut hain

Jis Jannat ko ashqon se seencha tha humne
Us jannat mein fansi ke fande bahut hain
Ashq ponchne ko bhale hi aanchal na ho yahan
Maiyatein uthane ke liye Kandhe bahut hain

Kya Shikwe kya ruswaiyan karoon inse main bhi aaj
Ye badnaseeb to khud bhi parde mein hain
Maaf karde inhe ae-Khuda ye dekh nahin sakte
Teri mehfil mein aankh wale Andhe Bahut hain
Teri mehfil mein aankh wale Andhe Bahut hain.....

widhani ji bohat acha likha hai achi soch hai aur doosron se hat ker lagi .........yunhi likhte rahiye......:)

Ek Ehsaas 6th January 2009 04:17 PM

Quote:

Originally Posted by Dard-e-sush (Post 307854)
Priy Amit

Bahut achi lagi aapki rachna...

God Bless
Regards
Susheel

Hi Susheel,

Thanks for finding out the time to go thru the post and appreciating it.

Regards,

Ek Ehsaas 14th January 2009 04:10 PM

Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 307862)
widhani ji bohat acha likha hai achi soch hai aur doosron se hat ker lagi .........yunhi likhte rahiye......:)

Hi Mani Di.

Please mujhe Amit bulaiye na...... :)

Purvi 14th January 2009 04:20 PM

Dear Amit,

aap ki soch aur kalam ko hamare koti koti pranam...

Ghazal...

Ek Ehsaas 19th January 2009 05:19 PM

Thanks a lot Gazal Ji................... :)

All times are GMT +5.5. The time now is 10:28 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.