Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=73924)

Qasid 6th November 2011 09:06 AM

क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं
 
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN

vikramjethi 6th November 2011 04:50 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN

mast saheb achha likha hai...khayaalaat aur soch bahut pasand aayee mujhe...daad qubuul kijiyega...

pallavi_here 6th November 2011 11:00 PM

Loved reading... And your display pic matches with the themes so very much :D

bahut khoob :)

Quote:

Originally Posted by mast (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN


sakhi1909 7th November 2011 01:21 AM

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं


bade arse bad padha apko acha laga.....ye sher bhaut khub kaha

Qasid 9th November 2011 09:34 AM

Quote:

Originally Posted by vikramjethi (Post 432730)
mast saheb achha likha hai...khayaalaat aur soch bahut pasand aayee mujhe...daad qubuul kijiyega...

vikram bhai, behad aacha laga ki aapne samay nikaal kar padha. Aapke atoot saath aur saath ke saath rehne waali daad ka shukrguzaar hooN

Yunhi saath dete rahiYeGaa...

-aapka apna

Qasid 9th November 2011 09:38 AM

Quote:

Originally Posted by pallavi_here (Post 432744)
Loved reading... And your display pic matches with the themes so very much :D

bahut khoob :)

Pallavi ji,

shukriya..aapke bataane ke baad gaur kiya is nazm aur avtaar ke beech ki nazdikiyon ka...good catch...:)

aap yaha aayi is nacheez ko padha aur pasand kiya shukriyaa...

aage bhi yunhi saath ki umeed mein

-aapka apnaa

Qasid 9th November 2011 09:40 AM

Quote:

Originally Posted by sakhi1909 (Post 432749)
दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं


bade arse bad padha apko acha laga.....ye sher bhaut khub kaha

sakhi ji

aapne to shayar ki nabz pakad li, yakeenan yahi ek sher tha jiske ehsaason ko shabd dene mein shayad 30 min se bhi upar lage the..

aapki daad ka shukriya aur aage bhi raabtaa yunhi kayam rakhiYeGaa..

-aapka apnaa

Dhaval 9th November 2011 09:52 AM

mast bhaa'ii:

namaste!

aik behterin koShiSh..!! nafeez aur dil-kaSh andaaz-e-bayaan par mere dil se daad aur duaaeN

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Qasid 10th November 2011 09:26 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 432878)
mast bhaa'ii:

namaste!

aik behterin koShiSh..!! nafeez aur dil-kaSh andaaz-e-bayaan par mere dil se daad aur duaaeN

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Dhaval bhai bas aapka pyaar hai

aapki duaaon se hi likhne ka haunslaa hota hai aapna saath barqaraar rakhiYeGaa


-aapka apnaa

naresh_mehra110 10th November 2011 07:40 PM

Khoobsurat Ehsaasaat Kahe HaiN ... Mast Ji !

Umdaa Aur BehtreeN ... !

AchChhi Koshish ... !

Dilee Daad O Mubaaraqbaad !!! :)

sameer'shaad' 10th November 2011 11:03 PM

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN


dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN


Waah waah waah.. bahot khoob, bahot khooB.. kamaal ke aashar hai bhai.. padhkar bahot Mazaa aaya.... Daad qubool kijiyega.. Upar mentioned sher ne to jaan hi nikaal di thii... Mashallah...

Shaad...

*AnAmikA* 23rd November 2011 11:55 AM

mast ji......... badi hi mastam mast peshkash hai ye apki.. sply ye line hi bht mast hai k bewajah hun main.... iske aage kuch kehne sunne k liye hi nahin raha..... mastam mast post .....

zainy 23rd November 2011 01:48 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN


Wah!!............................................. ........

Qasid 4th December 2011 04:26 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 432927)
Khoobsurat Ehsaasaat Kahe HaiN ... Mast Ji !

Umdaa Aur BehtreeN ... !

AchChhi Koshish ... !

Dilee Daad O Mubaaraqbaad !!! :)

Shukriyaa Naresh bhai, aapne saath aur daad ka hameshaa intezaar rehtaa hai..aapko yeh alfaaz pasand aaye to durust hi likhaa hoga

aapka apnaa

Qasid 4th December 2011 04:28 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 432944)
kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN


dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN


Waah waah waah.. bahot khoob, bahot khooB.. kamaal ke aashar hai bhai.. padhkar bahot Mazaa aaya.... Daad qubool kijiyega.. Upar mentioned sher ne to jaan hi nikaal di thii... Mashallah...

Shaad...

Shaad bhai - khoob nabz pakadnaa jaante hai aap, ji haan bilkul yun kahiye ki is zara si koshish ke dil par haath rakh diya hai aapna.

apne likhe ko waise to compare karna gunaah hoga par yeh sher is nazm mein mera bhi behad pasandida hai.

YunHi Saath dete RaHiYeGaa..

aapka apnaa

Qasid 4th December 2011 04:29 PM

Quote:

Originally Posted by *AnAmikA* (Post 433430)
mast ji......... badi hi mastam mast peshkash hai ye apki.. sply ye line hi bht mast hai k bewajah hun main.... iske aage kuch kehne sunne k liye hi nahin raha..... mastam mast post .....

Shukriyaa ki aapko yeh mastam mast sher pasand aaya :)

Aage bhi yunhi padhte aur likhte rahiYeGaa

aapka apnaa

Qasid 4th December 2011 04:30 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 433435)
Wah!!............................................. ........

Zainy ji - aapki waah ne muqamal bana diya aapko pasand aaya yeh aapne aap mein kabiliyat kahunGaa aapne liye

aapka apnaa

ISHK EK IBADAT 4th December 2011 10:22 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

bahut sundar ... dil se daad ...... radhe radhe ................... :)

Qasid 25th January 2012 08:51 AM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 433956)
bahut sundar ... dil se daad ...... radhe radhe ................... :)


Behad shukriya rajinder bhai - aapne saath diya bahut aacha laga.

aapka apnaa

Manshaa Thaakur 25th January 2012 09:11 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

very nice poetry .................... !

Zindagi5 26th January 2012 08:41 AM

Fantastic
 
क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


Loved it...

Qasid 30th January 2012 10:25 AM

Quote:

Originally Posted by Manshaa Thaakur (Post 436108)
very nice poetry .................... !

Manshaa ji,

aapki daad aur saath ka behad shukriya..khushi huyi jaankar ki aapko yeh rachnaa pasand aayi

aaGe bhi yunHi saath ki Umeed ke saath . alvidaa

aapka apnaa

Qasid 30th January 2012 10:33 AM

Quote:

Originally Posted by Zindagi5 (Post 436117)
क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


Loved it...

Zindagi ji - naam to nahi jaanta hooN par aapke screenname mein bahut zinda dili hai :)

aapko yeh koshish pasand aayi aur aapne saath diya iska shukriYaa

Umeed hai aage bhi rubaroo hote rahenGee

aapka apnaa

Madhu 14 8th March 2016 01:52 PM

kya baat hai waah...bahut purani post hai aaj hamari nazar me aayi to...daad diye bagair aage nahi badha jayega ab :)....bahut khoob...waah!!

Zor e kalam ho aur zyada....

Qasid 9th March 2016 11:47 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 491634)
kya baat hai waah...bahut purani post hai aaj hamari nazar me aayi to...daad diye bagair aage nahi badha jayega ab :)....bahut khoob...waah!!

Zor e kalam ho aur zyada....

Madhu is puraane nagme ko phir saamne laane ka behad shukriyaa phirse sab comments padhe aur behad mazaa aaya. Saath aur daad ka shukriyaa

aru 14th March 2016 05:12 PM

Bahut khoob likha hai....daad kubool karein....

Qasid 21st March 2016 09:20 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 491758)
Bahut khoob likha hai....daad kubool karein....

Aru bhai nawaazish ka behad shukriyaa sahab is lapata se sawaal se aap rabt bana paaye khushkismati hai meri, aate rahiYeGaa

Aashique 24th March 2016 03:59 AM

Bohat khoob Ek aale darje ki Gazal padte padte laga jaise sun raha Hu,

Qasid 30th March 2016 07:28 AM

Quote:

Originally Posted by Aashique (Post 491879)
Bohat khoob Ek aale darje ki Gazal padte padte laga jaise sun raha Hu,

Janaab zarra nawaazi hai jo khaak alfaaz aapke dil ko chuu gaye aage bhi koshish karta rahungaa ki bazm mein musalsal dil ki baat rakhtaa rahun :)

Rajeev Sharma 31st March 2016 11:17 AM

wahhhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhhh
bahut hi badhiyaa...........

Quote:


खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


Qasid 23rd April 2016 08:17 AM

Quote:

Originally Posted by Rajeev Sharma (Post 491964)
wahhhhhhhhhhhhhh wahhhhhhhhhhhhhhhh
bahut hi badhiyaa...........

Rajeev bhai aapke pyaar aur aapki daad ka shukrguzaar hoon mere bhai aate rahiye, aapse umeed rakhta hoon ki aapka bhi koi haseen rachnaa jald hume padhne ko mile mehfil mein...

Madhu 14 6th July 2020 03:31 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN


Behad asardaar kalaam
waah!!
......

zarraa 7th August 2020 11:46 PM

bahaut hi khoob ............... waaaahhh

chaahat 18th September 2020 07:52 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN

Bewajah nahi khaas ho tum,
Dosti ka ehsaas ho tum

Priya

Qasid 26th January 2021 11:37 AM

Quote:

Originally Posted by chaahat (Post 497179)
Bewajah nahi khaas ho tum,
Dosti ka ehsaas ho tum

Priya

Nawaazish aur mohabbat hai aapki

sameer'shaad' 26th February 2021 06:11 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 432702)
Doston,

Ek khayaal jo bas dil mein hai aapke aage rakh raha hoon...

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
दिल की एक सदा हूँ मैं

कभी हूँ मैं दास्ताँ-ए-मोहब्बत
कभी रंजिशों की वजह हूँ मैं

जो मिल के है बिछड़ी न फिर से मिली जो
ऐसी ही मंजिलों का पता हूँ मैं

खबर तो है मशहूर तेरे शहर में
की अरसों से खुद से जुदा हूँ मैं

दफन हूँ कही मैं सन्नाटे जैसा
कहीं राख से उठता धुँआ हूँ मैं

क्यूँ हूँ और अब क्या हूँ मैं
क्या कहूँ बस बेवजाह हूँ मैं


================================================== ========

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
Dil ki ek sadaa hooN MaiN

kabhi hooN MaiN daastaan-e-mohabbhat
kabhi ranjishon ki wajah hooN MaiN

Jo mil ke hai bichhadi na phir se mili jo
Aisi hi manzilon ka pata hooN MaiN

khabar to hai mashhoor tere shehar mein
ki arson se khud se judaa hooN MaiN

dafn hooN kahiN sannaate jaisa
kahin raakh se uthtaa dhuaa hooN MaiN

kyuuN hooN aur aab kya hooN MaiN
kya kahun bas bewajah hooN MaiN


bahot khoob janaab... alfaazon ke dhaagon me dard ke moti pirona koi aapse seekhe... likhte rahiye..

Shaad..

Qasid 30th April 2021 01:27 AM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 497148)
bahaut hi khoob ............... waaaahhh

zarra bhai khaak alfaazon ko aap jaise aala shayar ne tavajo di mamnoon hoon. saath nibhaate rahiyegaa

Qasid 30th April 2021 01:29 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 497285)
bahot khoob janaab... alfaazon ke dhaagon me dard ke moti pirona koi aapse seekhe... likhte rahiye..

Shaad..

dard ka rabt hi aisa hai mere bhai ki alfaaz kab haal-e-dil bayaan kar jaate hai kabhi kabhi khud ko bhi pata nahi chalta. aapki muhabaat hai shukriya


All times are GMT +5.5. The time now is 11:24 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.