Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   Aisy meri taqdeer kaNha (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=2587)

anil_tantia 16th January 2002 11:55 PM

Aisy meri taqdeer kaNha
 
DoostoN ghazal thodi badi zaroor per padiyega zaroor, padne ke baad Aapko koi shikayet nahogi



Teri aankh ke aansu pee jauN
Aisy meri taqdeer kaNha,
Tujh sang chand lamhe jee pauN
Aisy meri taqdeer kaNha,

Tera muskurana chahta huuN
Maang taaroN se sajaana chahta huuN,
Tujhko meiN khush rakh pauN
Aisy meri taqdeer kaNha,

Tu apne dil ki baat bataaye
Kbhi to ye leb(HoNth) Kuch keh paaye,
Tujhko meiN smajh pauN
Aisy meri taqdeer kaNha,

Apni zindgi banana chahta huN
Tere kareeb aana chahta huN,
Tujhko meiN hasil ker pauN
Aisy meri taqdeer kaNha,

Itni door aa gaya huN
Per teri yaadoeN meiN hi raha huN,
Phir bhi tera likha khat padd(Read) pauN
Aisy meri taqdeer kaNha,

Meri jannet waNhi hai
Mera mann bhi waNhi hai,
Kash Mein bhi waNha reh(live) pauN
Rehti hai meri 'SHEET' jaNha.

maikasH 17th January 2002 08:42 AM

welcome...!!
 
Anil saahab....aadaab

khush'aam-deed.......!!

aapka kalaam paRha hai....bahot achche khayaal haiN....!!

Takniiquii pehlu se kuch arz karna chahta huN....agar aapko bura lage to muaaf kijiyega....maiN ye post delete kar duuNga.....

pehle baat....is kalaam ko "ghazal" nahiN kaha jaa sakta....kyuN ke ismeiN "qafiya" nahiN hai.....aur aakhiri sheyr meiN radeef bhi khaarij ho jaata hai.........

doosre koi bhii misra beh'r meiN nahiN haii......

iss yuuN keh ke dekhiye.....

teri aaNkh ke aaNsu pii jaauN, aisii bhi meri taqdiir kahaN
do lamhe tere saNg jii jaauN, aisii bhi meri taqdiir kahaN


agar ye suurat qaabil'e gaur lage to koshish kijiyega.....agar mujhse koi shikayat ho to bataiiyega.....

khaaksaar
maikasH

anil_tantia 17th January 2002 09:12 PM

shukriya
 
maikash ji bahut-2 shukriya aapki advice ka .

Aainda se yeh nacheez koshish karega.

aapne theek fermaya ye ghazal nahi hai, yeh maine kisiko yaad karte hue tab likhi thi jab meiN us se bahut door tha, aur meiN gahzal likhne ke baare meiN kuch bhi nahi jaanta tha ,jo us waqt dil meiN tha wo shabdoeN meiN peeroya tha.

Ek baat or meiN aajkal nahi likhta yeh sab pehle ka hi likha hua hai.

keep in touch.

sonica_k 25th January 2002 07:26 AM

wow
 
This was a great one Anil ji... bohot bohot achaaaaa... aur likhete rahiega.. Take care.. Sonica

mausam 29th January 2002 04:45 PM

very nice
 
hello anilji!!!!!!!!!!
this is 2 nice...............
i hope we will recieve such more interesting things from u again and again.
apne maikashji ko reply kiya ki ajjkal main nahin likhta par you write nice, dont stop writing.
always smile,
mausam

Chota Sa Dil 30th January 2002 02:39 AM

what can i say
 
yaar Anil Ji kya kahee hum abh. Hum tho bas soochthe he rahee gaye. Kya khoob andaaz se likha hai apne. Sache mein baoth acha likha hai. Apne likha ke yeh tora sa lamba hai, par jab humne paraa tho humko ithna acha lagga. Hum sooch rahee the ke bas yaar ap likhthe jayee is topic par. Bas aur kya kahee keep up the great work. Look forward to it.

chota sa dil


All times are GMT +5.5. The time now is 08:52 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.