Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76393)

zarraa 12th October 2013 05:18 PM

bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai
 
ab hawaa hai n aab-o-daanaa hai
bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai

(aab-o-daanaa = water and food)


keh rahee hai sabaa bhi ab ke baras
fasl-e-gul ka naheeN thikaanaa hai

(fasl-e-gul = spring season)


saath khushiyoN ka chand-rozaa hai
gham se rishhtaa barhaa puraanaa hai

(chand-rozaa = temporary)


kuchh to rehmat bhi ho chalee dushwaar
kuchh jafaaoN ka ye zamaanaa hai

(rehmat = mercy, jafaa = opression)


jee to kartaa hai is ko maan leiN sach
ye jo teraa meraa fasaanaa hai


laa-makaaN hum haiN dukh naheeN is ka
dil teraa soonaa aastaanaa hai

(laa-makaaN = homeless, aastaanaa = abode)


mehv-e-deed-e-khiraam meiN n ye hosh
ke ye aanaa teraa ke jaanaa hai

(mehv-e-deed-e-khiraam = immersed in watching the graceful walk)


mat rihaa kar aseer zulf-e-daraaz
zabt kitnaa ab aazmaanaa hai

(aseer =one who is imprisoned, zulf-e-daraaz = long hair, zabt = control)


keemtee shai chhupaa ke rakhte haiN
teree nekee teraa khazaanaa hai

(shai = thing)


jo n toofaaN meiN bhi bujhee thi lau
ashq-o-aah se use bachaanaa hai

(lau = flame)


raaz-e-dil kab ayaaN kiyaa “zarraa”
ye sukhan-goyee bas bahaanaa hai

(ayaaN = evident, sukhan-goyee = poetry telling)



- ZARRAA

sameer'shaad' 13th October 2013 11:23 AM

Waaahhhhhh Zarraa bhai..... qayaamatangez ghazal kahi hai apne is baar bhii
waahhh subhaan allaah..... Matla se maqtaa tak lutf andoz... ek kaamyaab ghazal ke liye dheron mubaarakkbaad..... likhte rahen, aate rahen...

Shaad...

jahhan 13th October 2013 06:29 PM

Bahot KHub .... Umda Peshkash ... Kucchek Laine To Beintaha Khubsurat Ban Padi hai .....


Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454748)
ab hawaa hai n aab-o-daanaa hai
bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai

(aab-o-daanaa = water and food)


keh rahee hai sabaa bhi ab ke baras
fasl-e-gul ka naheeN thikaanaa hai

(fasl-e-gul = spring season)


saath khushiyoN ka chand-rozaa hai
gham se rishhtaa barhaa puraanaa hai

(chand-rozaa = temporary)


kuchh to rehmat bhi ho chalee dushwaar
kuchh jafaaoN ka ye zamaanaa hai

(rehmat = mercy, jafaa = opression)


jee to kartaa hai is ko maan leiN sach
ye jo teraa meraa fasaanaa hai


laa-makaaN hum haiN dukh naheeN is ka
dil teraa soonaa aastaanaa hai

(laa-makaaN = homeless, aastaanaa = abode)


mehv-e-deed-e-khiraam meiN n ye hosh
ke ye aanaa teraa ke jaanaa hai

(mehv-e-deed-e-khiraam = immersed in watching the graceful walk)


mat rihaa kar aseer zulf-e-daraaz
zabt kitnaa ab aazmaanaa hai

(aseer =one who is imprisoned, zulf-e-daraaz = long hair, zabt = control)


keemtee shai chhupaa ke rakhte haiN
teree nekee teraa khazaanaa hai


(shai = thing)


jo n toofaaN meiN bhi bujhee thi lau
ashq-o-aah se use bachaanaa hai

(lau = flame)


raaz-e-dil kab ayaaN kiyaa “zarraa”
ye sukhan-goyee bas bahaanaa hai

(ayaaN = evident, sukhan-goyee = poetry telling)



- ZARRAA


sunita thakur 14th October 2013 10:46 AM

Zarraa ji, bahut khoobsurat ahsaas................!

zarraa 15th October 2013 08:40 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454755)
Waaahhhhhh Zarraa bhai..... qayaamatangez ghazal kahi hai apne is baar bhii
waahhh subhaan allaah..... Matla se maqtaa tak lutf andoz... ek kaamyaab ghazal ke liye dheron mubaarakkbaad..... likhte rahen, aate rahen...

Shaad...

Shaad mere bhai ..... aapki zarranawaazee mohabbat aur huslafzaayee ka kis qadar qarzdaar hoon bayaan naheen kar sakta .... bas tah e dil se shukriya ada karta hoon aur dheron duaein deta hoon .... Zarraa

Dhaval 15th October 2013 08:42 PM

zarra jee:

namaste!

kaise haiN aap? ees Ghazal ki taareef ke liye mere paas koii lafz nahiiN... baDi damdaar Ghazal !! mazaa aa gayaa... dil se daad

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

zarraa 16th October 2013 11:11 AM

Quote:

Originally Posted by jahhan (Post 454759)
Bahot KHub .... Umda Peshkash ... Kucchek Laine To Beintaha Khubsurat Ban Padi hai .....


Pasand karne ka shukriya Jahhan ji

aadeil 16th October 2013 05:36 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454748)
ab hawaa hai n aab-o-daanaa hai
bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai

(aab-o-daanaa = water and food)


keh rahee hai sabaa bhi ab ke baras
fasl-e-gul ka naheeN thikaanaa hai

(fasl-e-gul = spring season)


saath khushiyoN ka chand-rozaa hai
gham se rishhtaa barhaa puraanaa hai

(chand-rozaa = temporary)


kuchh to rehmat bhi ho chalee dushwaar
kuchh jafaaoN ka ye zamaanaa hai

(rehmat = mercy, jafaa = opression)


jee to kartaa hai is ko maan leiN sach
ye jo teraa meraa fasaanaa hai


laa-makaaN hum haiN dukh naheeN is ka
dil teraa soonaa aastaanaa hai

(laa-makaaN = homeless, aastaanaa = abode)


mehv-e-deed-e-khiraam meiN n ye hosh
ke ye aanaa teraa ke jaanaa hai

(mehv-e-deed-e-khiraam = immersed in watching the graceful walk)


mat rihaa kar aseer zulf-e-daraaz
zabt kitnaa ab aazmaanaa hai

(aseer =one who is imprisoned, zulf-e-daraaz = long hair, zabt = control)


keemtee shai chhupaa ke rakhte haiN
teree nekee teraa khazaanaa hai

(shai = thing)


jo n toofaaN meiN bhi bujhee thi lau
ashq-o-aah se use bachaanaa hai

(lau = flame)


raaz-e-dil kab ayaaN kiyaa “zarraa”
ye sukhan-goyee bas bahaanaa hai

(ayaaN = evident, sukhan-goyee = poetry telling)



- ZARRAA

ZARRAA ji, bahut khub pesh kiya hai

zarraa 17th October 2013 02:04 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 454767)
Zarraa ji, bahut khoobsurat ahsaas................!



Sunita ji ... pasand karne ka bahaut bahaut shukriya

zarraa 18th October 2013 09:00 PM

Dhaval ji .... Namaskaar .... Ummeed hai aap sakushal hain .... Aapka paighaam dekh ke bahaut achchhaa laga .... Waqt dene ka aur ghazal ko pasand karne ka bahaut bahaut shukriya .... Meri jaanib se aap ko dheron duaein .... Zarraa

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 454800)
zarra jee:

namaste!

kaise haiN aap? ees Ghazal ki taareef ke liye mere paas koii lafz nahiiN... baDi damdaar Ghazal !! mazaa aa gayaa... dil se daad

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval


zarraa 19th October 2013 02:01 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 454806)
ZARRAA ji, bahut khub pesh kiya hai


aap ka bahaut bahaut shukriya Aadeil ji

shakir ali 01 30th October 2013 12:15 PM

nice filingssssssssssss zara jiiiiiiii

zarraa 31st October 2013 08:51 PM

Quote:

Originally Posted by shakir ali 01 (Post 454992)
nice filingssssssssssss zara jiiiiiiii

Thank you Shakir ji .............................................


All times are GMT +5.5. The time now is 07:55 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.