Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   khwahishoN ke fansale (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78696)

Hamdam 22nd February 2015 08:13 PM

khwahishoN ke fansale
 
KhwahishoN ke faansale bhi ajeeb hote haiN,
Puri ho hasrateiN jinki khushnaseeb hote haiN

ChahtoN ke sang jab bhi shareek hote haiN ,
Dil ke dharkon ke vo bilkul kareeb hote haiN

Chahne wale hi tau sab ke habeeb hote haiN,
Door kitne bhi rahein Dil ke kareeb hote haiN

Lut gaya pyar jinka vo badnaseeb hote haiN ,
Zamane ke shah bhi dil ke faqeer hote haiN.

Waqt pe jo sath nibhaye kitne azeez hote haiN,
Wada kar ke mukar jayeiN raqueeb hote haiN.

Tere saath jo guzre vo lamhe haseen hote haiN,
Bin tere zinagee ke mayne betaseer hote haiN

sameer'shaad' 22nd February 2015 09:34 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 474476)

waaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh kyaa baat hai Sanjay saahab.......

ummdah adaakaarii ka namunaa peesh kiyaa hai aapne..... bahot anchue se lage aapke ye ehsaaas, bilkul oven fresh.......... :)

bahot si Daad aur mubaarakbaad aapko.... likhte rahiyegaa

last aur third last sher me qaafiyaa sudhaaar len.......

Shaad....

Sagar Aashna 22nd February 2015 10:09 PM

Kya baat hai jenaab.
Behadd khoobsurat peshkash.

Likhte raheiN

masti 23rd February 2015 02:45 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 474476)
KhwahishoN ke faansale bhi ajeeb hote haiN,
Puri ho hasrateiN jinki khushnaseeb hote haiN

ChahtoN ke sang jab bhi shareek hote haiN ,
Dil ke dharkon ke vo bilkul kareeb hote haiN

Chahne wale hi tau sab ke habeeb hote haiN,
Door kitne bhi rahein Dil ke kareeb hote haiN

Lut gaya pyar jinka vo badnaseeb hote haiN ,
Zamane ke shah bhi dil ke faqeer hote haiN.

Waqt pe jo sath nibhaye kitne azeez hote haiN,
Wada kar ke mukar jayeiN raqueeb hote haiN.

Tere saath jo guzre vo lamhe haseen hote haiN,
Bin tere zinagee ke mayne betaseer hote haiN

Waaah.................Sanjay ji

kamaal ki rahi aapki se khubsoorat peshkash. simply loved it..........:)

isi tarah likhte rahiye...

Hamdam 28th February 2015 08:49 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 474477)
waaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh kyaa baat hai Sanjay saahab.......

ummdah adaakaarii ka namunaa peesh kiyaa hai aapne..... bahot anchue se lage aapke ye ehsaaas, bilkul oven fresh.......... :)

bahot si Daad aur mubaarakbaad aapko.... likhte rahiyegaa

last aur third last sher me qaafiyaa sudhaaar len.......

Shaad....

Shukriya Shoaib bhai ghazal pasand karne ka ..Rahi.qafiye ki baat
do.asharoN meiN , mujhe galti maalum thi likte hue , per kya karun
koi theek shabs soojha nahiN ..Aap ka tahe dil se mashkoor hoon ki
aap itni bareeki se her ashar ko perte haiM aur errors point karte
haiN.

Regds
Sanjay Sehgal

masti 1st March 2015 01:17 AM

Sanjay ji

Namaste

Shaad ji ka sujhav pada maine. Halanki bohut kam janti hun main aap sab ke muqabley. Magar khud bhi seekne ki chah mein ek sujhaav dene ki jurrat kar rahi hun. Kyun na 4 sher mein aap fakeer aur badnaseeb ko inter change kar dekhein? Aur last wale mein 'ajeeb' ja sakta hai kya?

Koi gustakhi ho gayi ho to choti behn samajh kar maaf kar dena.

Hamdam 1st March 2015 10:25 AM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 474680)
Sanjay ji

Namaste

Shaad ji ka sujhav pada maine. Halanki bohut kam janti hun main aap sab ke muqabley. Magar khud bhi seekne ki chah mein ek sujhaav dene ki jurrat kar rahi hun. Kyun na 4 sher mein aap fakeer aur badnaseeb ko inter change kar dekhein? Aur last wale mein 'ajeeb' ja sakta hai kya?

Koi gustakhi ho gayi ho to choti behn samajh kar maaf kar dena.

Bhai Choti behn ne sujhav diya hai tau gaur karna parega:)

Last line mein tau ajeeb chal jayega , Per sher no 4 mein adla badli faqeer aur badnaseev se qafiya tau durust ho jayega , per sher ke sahi mayne convey nahin ho payeinge....

Regds
Sanjay Sehgal

koi to ho 2nd March 2015 12:28 AM

wahhh boahat khoob aik aik sher bht acha likha hai

Madhu 14 2nd March 2015 08:29 AM

Waaah....
Bahut khoob sanjay jee.bahut gahare ehsaas liye huye ye kalaam bahut pasand aaya hamein...

Hamdam 4th March 2015 08:44 PM

Quote:

Originally Posted by koi to ho (Post 474701)
wahhh boahat khoob aik aik sher bht acha likha hai

Bahut bahut shukriya Mani ji .. Apko yahan dekh kar bahut kushi huyee.. Aap jaise purane members se association achi lagti hai.. Nayee peeri ke shayars ke liye seniors ki haunsal wazayi bahut mayne rakhti hai..

Sanjay Sehgal

sameer'shaad' 5th March 2015 09:49 AM

Sannjay saahab... aadaab.... aapka khat padhaa aur sarikhaa ji ka khat bhii padhaa....
bahot khushi huiii ye dekh kar ke bazm me aap log jaise saada dil insaan bhii hain jo seekhne sikhaane ki chaha rakhte hain.......

jee haan aapne ssahii kaha ke main bahot bareekii se padhtaa hoon, har kavitaa ko har koshihs ko magar point out sirf unhe hi karta hoon jo seekhne ki chaah rakhte hon, jinke uupar mujhe bharosa hai ke wo merii baaton ko anyathaa na lete hue.. un bareeki aur choti choti mmistakes ko door karen, jiski wajah se nishaandehii paidaa ho....

Ghazal likhne me kai shaayr mahiino tak ka waqt lete they, isliye ke koi nuqtaa baraabar ki galtiii ki gunjaaish paiaa na ho.... halaki ham sab bahot jaldi me likhaa karte hain, lekin koshish ye karna chahiye ke baareeekiyon ko door kar ekdam perfect kalaam jab taiyaar ho jaae shaayr ki nazar me, to pesh kar de........

Sarika ji ka bhi main behad shukrguzaar hoon jo aapne apne sujhaav diye jo kaafii had tak durust hain qaafiya ke lihaaz se, magar shaayar ko aazaadii hai ke wo inhe kaise istemal karta hai...... ya nahii bhii.....

koi baat nagawaara guzaree ho to muaazrat chahungaa....

aapka chota bhai

Shaad.....

Hamdam 5th March 2015 05:39 PM

Sameer bhai ..pehle tau aap ka shukriya jo.aap humei guide karte haiN.
Mujhe yaqeenan bahut khushi hoti hai is baat se ki aap apna keemti samay
nikal ke humhe samjhate haiN ..

Aap ka sujhav ki ghazal pesh karne se pehle use
khoob ghis lo , refine karo, galtiyan check.karo aur tab post.karo , main is cheez ka
bilkul khayal rakhunga.

Thanks once again .

Sanjay Sehgal

aru 16th March 2015 04:48 PM

sanjay jee ehsaas bahut acche lage muje....par sshoiab jee ka kehna sahi hai....

Sabhat khan 16th March 2015 07:36 PM

WAH HAMDAM SAHAB AAP KA TO JAWAB NAHI,, WAHhhhhhhhhhhh

Hamdam 19th March 2015 08:14 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 474710)
Waaah....
Bahut khoob sanjay jee.bahut gahare ehsaas liye huye ye kalaam bahut pasand aaya hamein...

Madhu ji aapko ehsaasat pasand aye , jankar ker bahut khushim hui ..

YuN hi haunsala badate raheiN .

Sanjay Sehgal

Hamdam 19th March 2015 08:16 PM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 475119)
sanjay jee ehsaas bahut acche lage muje....par sshoiab jee ka kehna sahi hai....

Aru bhai aap ki anukampa ke liye shukriya ..

Sanjay Sehgal

bhushan 20th March 2015 06:31 PM

Kya likhte hain aap Sehgal Sahab....waaaaah...aaj bohot dino baad aana hua SDC par aur aap ke es kalam ne dil khush kar diya....

Bohot bohot mubarak aur dheroon daad

Aapka apna
Bhushan

Hamdam 20th March 2015 10:18 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 475199)
Kya likhte hain aap Sehgal Sahab....waaaaah...aaj bohot dino baad aana hua SDC par aur aap ke es kalam ne dil khush kar diya....

Bohot bohot mubarak aur dheroon daad

Aapka apna
Bhushan

Bhushan bhai ,
Shukriya .. Main kuch dino se aapko yaad ker raha tha ki aaj kal Bhushan nazar nahiN aa raha aur Jagdish ji(Sagar Asthana) bhi kum dikhte hain yahan..

Bhai aap jaise naujwan kuch chehalkadmiN karte rahenge tau mehfil meiN raunak berkaraar rahegi.

Sanjay Sehgal

All times are GMT +5.5. The time now is 10:37 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.