Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Hum Log 1 (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80635)

zarraa 4th September 2021 08:28 PM

Hum Log 1
 
हम लोग - 1

दोस्तों … ज़ियादा शेर हो जाने की वजह से 2 नज़्मों में पेश कर रहा हूँ

कभी अच्छे कभी बुरे हम लोग
एक-दूजे के आइने हम लोग

ज़िंदगी थी कि जी गई हम को
ज़िंदगी को कहाँ जिये हम लोग

प्यास ऐसे बुझा रहे हम लोग
प्यास जैसे बढ़ा रहे हम लोग

ना तो रस्ते पे थे ना मंज़िल पर
अपने रख़्त-ए-सफ़र* में थे हम लोग
(*सफ़र का सामान)

रोज़ होते रहे नज़र-अंदाज़
रोज़ सफ़* में खड़े मिले हम लोग
(*कतार)

नाम अपना कमाने आए थे
काम औरों के आ गए हम लोग

सारी बातों को जानते हम लोग
बातें औरों की मानते हम लोग

ख़ुद से कुछ दूर हो गए फिर भी
वक़्त के साथ हैं चले हम लोग

क्या नई नस्ल को नसीहत दें
जब हमीं से नहीं रहे हम लोग

ये ना समझो बदल गए “ज़र्रा”
गल के जीवन में ढल गए हम लोग

- ज़र्रा

(3 और 7 शेर में तजरबे की कोशिश हैं)

Hum Log 1

dostoN … ziyaada sher ho jaane ki vajah se 2 nazmoN meN pesh kar raha hooN

kabhi achchhe kabhi bure hum log
ek-dooje ke aaine hum log

zindagi thi ki ji ga’i hum ko
zindagi ko kahaaN jiye hum log

pyaas aise bujha rahe hum log
pyaas jaise baDha rahe hum log

na to r’ste pe the na manzil par
apne raKHt-e-safar* meN the hum log
(*luggage of journey)

roz hote rahe nazar-andaaz
roz saf* meN khaDe mile hum log
(*queue)

naam apna kamaane aa’e the
kaam auroN ke aa ga’e hum log

saari baatoN ko jaan’te hum log
baateN auroN ki maan’te hum log

KHud se kuchh door ho ga’e phir bhi
waqt ke saath haiN chale hum log

kya na’i nasl ko naseehat deN
jab humeeN se naheeN rahe hum log

ye na samajho badal ga’e “zarraa”
gal ke jeevan meN dhal ga’e hum log

- zarraa

(3 aur 7 sher meN tajrabe ki koshish hai)


All times are GMT +5.5. The time now is 11:09 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.