Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Humourous Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=22)
-   -   Bait-Baazi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=13674)

khan 23rd July 2003 12:36 AM

Bait-Baazi
 
Azeez Doston Adaab,
Aap sab ko ittla deni hai ki Humourous Shayri mein jo mein ne pehle ek thread Baitbaazi shuroo kiya tha woh kisi wajah se is thread mein se ghaayab ho gaya, mein ne administrator ko bhi likha par unhon ne thread ko phir se shuroo karne ki request ki hai, isliye aaiye Bait-Baazi phir se shuroo karte hain Ghalib ke is Sher ke saath.......
thii nau_aamoz-e-fanaa himmat-e-dushvaar pasand
saKht mushkil hai ki ye kaam bhii aasaan nikla

dil men phir giriyaa ne ik shor uthaayaa 'Ghalib'
aah jo qataraa na nikalaa thaa so tuufaan niklaa

Mirza "Ghalib"


Niklaa.... Yani ab "LAAM" ya"L" se shuroo karen
regards
Sahil Khan

khan 23rd July 2003 04:34 PM

Are doston koi to likhiye bhai...................??????????????
regards
khan

sohinakhan 23rd July 2003 05:30 PM

sorry i am late!!!
 
likhhun to kya mere dil bata..
unhe dekhne ko kyun tu machalta hai !
are pagal pyaar mein talaash nahin hoti
bas dil mein kisike aane ka pata chalta hai !!


adaab .........hum aapne doston ki khwaaish adhuri nahi chodte!!!
pata nahi ye shair kis ne likha hai ...lekin mein ne ye shair isi website si li thi!!!!
take care khudahafiz
byee@--

khan 23rd July 2003 08:54 PM

Haadse kyaa kyaa tumhaari berukhi se ho gaye,
saari duniyaa ke liye ham ajanabi se ho gaye !!

kuchh tumhaari gesuon ki barhamii ne kar diyaa,
kuchh andhere mere ghar men raushni se ho gaye !!

Sagar Nizami


regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 25th July 2003 02:20 PM

Ye aapki galatfehmi hai, koi andhera nahi
aap ki aankho me hi roshni ka basera nahi
jisse aap roshni ki umeed kar rahe hai sahil
unke khud ke garo me hota sawera nahi

SaNaM

khan 25th July 2003 06:41 PM

Bahut khoob Sanam Sahiba !!!!!!!!
Kya tapaak sa jawaab diya hai aapne, achhi tuk-bandi ki hai, kyaa kehne.....

Ham par tumhaari chaah kaa ilzaam hi to hai
dushnaam to nahin hai ye ikraam hi to hai

dil na-ummeed to naheen, na-kaam hi to hai
lambi hai Gham ki shaam, magar shaam hi to hai

Faiz Ahmad "Faiz"

regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 25th July 2003 11:40 PM

e khuda is sham ko yahi rok le
kahi koi deewana, ghayal share aam na ho jaye
me ho jau ruswa to parwah nahi
kahi mera mehboob badnaam na ho jaye

SaNaM

khan 25th July 2003 11:49 PM

Ye jo ham hijr mein deevaar-o-dar ko dekhate hain
kabhi sabaa ko kabhi naamabar ko dekhte hain


vo aaye ghar men hamaare Khudaa ki qudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apane ghar ko dekhate hain

Mirza "Ghalib"

regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 26th July 2003 12:03 AM

hai aapka ghar jannat hamare liye
hamare aane-naa aanse kya hoga
darkhast hai aap bhula dena hame
hame yaad karne na karne se kya hoga
ho sakta hai kal yaha aana munasib na ho
ye wajood hone na hone se kya hoga
jindagi ki umr-a ab badi kam lagti hai
waise bhi hamare rehen na rehne se kya hoga
SaNaM

khan 26th July 2003 12:15 AM

[B]Gaee vo baat ki ho guftaguu to kyonkar ho
kahe se kuchh na huaa phir kaho to kyonkar ho

hamaare zahan men is fikr kaa hai naam visaal
ki gar na ho to kahaan jaayen ho to kyonkar ho

adab hai aur yahi kashamakash to kyaa kije
hayaa hai aur yahi gomago to kyonkar ho

tumhin kaho ki guzaaraa sanam paraston kaa
buton ki ho agar aisi hi Khuu to kyonkar ho

ulajhte ho tum agar dekhte ho aainaa
jo tum se shahar men ho ek do to kyonkar ho

hamen phir un se ummeed aur unhen hamaari qadr
hamaari baat hi puchhe na vo to kyonkar ho

Galat na thaa hamen Khat par gumaan tasalli ka
na maane diidaa-e-diidaar juu to kyonkar ho

mujhe junoon nahin Ghalib vale baqaul-e-huzuur
firaaq-e-yaar men taskin ho to kyonkar ho
Mirza "GHALIB"

regards


Sahil Khan

Afshan 26th July 2003 01:09 PM

Hazaar tare jalte aasmaan me,
Timtimaakar raat banaaye haseen,
Hazaar tare, har ek akela,
Duniya aasmaan se juda to nahin.

-Banno.

khan 27th July 2003 01:35 PM

Na jee bhar ke dekhaa na kuchh baat kee
beeii aarzuu thee mulaaqaat kee


kaee saal se kuchh Khabar hee naheen
kahaan din guzaaraa kahaan raat kee

Basheer Badr


regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 27th July 2003 03:01 PM

KITNI HAI MOHABBAT IS DIL KE KHAZANO MEIN
LEKAR TO DEKHIYE HAMEIN APNE PANAHO MEIN
HAR WAQT HOTA HAI TERA HI INTAJAR DIL KO
MEHSOOS KARNA YE KABHI MERI NIGAHOAN MEIN

from one sms

khan 28th July 2003 01:08 AM

Na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushi ka rang liye har malaal aayaa hai

vo ek shakhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhi
mitaa kisee pe to kaisaa bahaal aayaa hai

Ahmad Hamdani


regards
Sahil Khan

meena chheda 28th July 2003 11:14 AM

hai aaj kuchh nayi baat hawa maie bhi
pahlaey to kabhi yunh baheki n thhi
jaroor tumse mil kar aayi hai.....
warna itni thhand bhi gulaabi n thhi

dil_e_sikast 28th July 2003 11:44 AM

the wo bhi kuchh kuchh khafa ham se
sayad ho gayee thi koi khata ham se
par yu berukhi se najre na chura tu
keh to sahi, kya ho gayee jafa ham se

SaNaM

khan 28th July 2003 11:44 AM

Yaad naheen kyaa kyaa dekhaa tha saare manzar bhool gaye
us ki galiyon se jab laute apanaa bhi ghar bhool gaye

Khoob gaye pardes ki apane deevaar-o-dar bhool gaye
sheesh-mahal ne aisaa gheraa mitti ke ghar bhool gaye

Nazeer Baqri


regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 28th July 2003 11:50 AM

Ye baat galat hai ki hame aap se mohabbat nahi
Ye baat alag hai ki hame jatane ki aadat nahi

-unknown

khan 28th July 2003 12:01 PM

Nahin............yani NOON ya N se shuroo karna hai.......

Naheen minnat-kash-e-taab-e-shaneedan daastaan meri
Khamoshi guftguu hai, bezubaani hai zabaan meri

Uthaaye kuchh varaq laalaa ne kuchh naragis ne kuchh gul ne
chaman mein har taraf bikhree huee hai daastaan meri

Sir Allama Mohammad "IQBAL"


regards
khan

khan 29th July 2003 10:09 PM

come on anybody !!!!!!!!!
regards
khan

dil_e_sikast 29th July 2003 10:27 PM

raat bhar neend na aaye to
ashk aankho me chhalchhalaye to
kya hua hai kise bataye ab
koi yaad bahot aaye to

unknown

rizluv 30th July 2003 04:01 PM

just trying
 
i dont even know whose sher is this .....

T or te

tujhsa na pehle koi hamdam dekha
ood gaye hosh jawani ke jo ye aalam dekha
hasrate mitati nahi jitna bhi dekhloo tujh ko
maine dekha hai tuje phir bhi bahot kam dekha......


Take Care
-----------------------
Mohalle ke sabhi log the aatish parast.....
mera ghar jalta raha aur samandar kareeb tha.....

dil_e_sikast 31st July 2003 12:16 AM

Khamosi ne teri kuchh is kadar asar kiya
ki mere har lafj bematlab ho gaye
yu sadma laga chand sitaro ko bhi
ki aaj raat bina jale hi so gaye

SaNaM

khan 31st July 2003 01:05 AM

Yun lage dost tera mujhse Khafaa ho jaanaa
jis tarah phool se Khushboo ka judaa ho jaanaa

jaane vo kaun see kaifiyat-e-Gham Khvaaree hai
mere piite hi "Qateel" us ko nashaa ho jaanaa

Qateel Shifai


regards
Sahil Khan

Afshan 31st July 2003 12:37 PM

Naam likh kar tera saahil ki rait par,
LaRte rahe hawaaon se umr bhar.

-Raj.

khan 31st July 2003 01:38 PM

Royaa karenge aap bhi paharon isee tarah
atkaa kaheen jo aap kaa dil bhi meri tarah


na taab hijr main hai naa aaraam vasl main
kambakht dil ko chain naheen hai kisi tarah

Momin Khan "MOMIN"


regards
Sahil Khan

khan 1st August 2003 03:18 PM

anyone please write down !!!!
regards
Sahil Khan

dil_e_sikast 2nd August 2003 12:24 AM

Hamne socha tha tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge tumhare aane tak

GHALIB (sayad)

khan 2nd August 2003 01:02 AM

Ji Janaab Shayad nahin balke ye Sher GHALIB ka hi hai, lekin aapne ek ghalati kar di hai woh durust kar len, aapne likha hai ki Hamne socha balke sahi lafz hai ki... Hamne maana aur sher yun hai !!!
Hamne maana ki taghaaful na karoge lekin
Khaak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak


ab silsila age barhate hain........

Kahaa tumne ki kyun ho Ghair ke milne mein rusvaee
bajaa kahate ho sach kahate ho phir kahiyo ki haan kyun ho

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan

khan 2nd August 2003 11:57 PM

Doston please reply kariye !!!
regards
Sahil Khan

khan 4th August 2003 09:49 AM

HAPPY FRIENDSHIP DAY to all friends
regards
Sahil Khan

meena chheda 4th August 2003 10:10 AM

ham to muskura rahe thhae....
aapne kaise haale dil jaan liya
in kambakht aankho ko abhi hi nam hona thha

khan 4th August 2003 10:18 AM

Thar thari si hai aasamaanon mein
zor kuchh to hai naatavaanon mein

Kitnaa Khaamosh hai jahaan lekin
ik sadaa aa rahi hai kaanon mein

Firaq Gorakhpuri

regards
Sahil Khan

meena chheda 4th August 2003 01:15 PM

maie kuchh kahti hu to ruthh jaate ho tum
aur choop rahti hu to sahe nahi paate ho tum
ajab khel hai hamare rishte maie...
n tum kuchh kahte ho na kuchh soonte ho
bah raha hai akela samundar bich hamaare
tum oos kinare maie is kinaare.....

khan 4th August 2003 02:36 PM

Meena Ji aapko Noon ya"N" se shuroo karma tha aur aapne "M" se shuroo kiya, Kher koi baat nahin isee ko lekar aage barhte hain........kinaare yani "Re" ya "R" se shuroo karna hai.......

Ret par likh ke mera naam mitaaya na karo
aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo

Log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo

"Mohsin" Naqvi

regards
Sahil Khan

Afshan 4th August 2003 02:40 PM

Ruh ki shama jo bujhne lage,
Dard ke sheeshe jo chubhne lage,
Doobja kisi ke ghum mein tu,
Jeene se dil jo ubhne lage.

-Banno

PS: Happy Friendship Day!

khan 4th August 2003 02:56 PM

Gesu-e- taabedaar ko aur bhi taabedaar kar
hosh-o-Khiraad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar

Dr. Sir Allama Mohammad "IQBAL"



regards
Sahil

dil_e_sikast 4th August 2003 10:52 PM

Rago main daudne firne ke ham nahi kayal
jab aankh hi se na tapke to fir lahu kya hai


Galib uncle;-)

Afshan 5th August 2003 01:41 PM

Har viraan chaman ho jaye,
Har dushman sanam ho jaye,
Dekh lo ek nazar gar tum,
Har dharkan nazam ho jaye.

-Banno

khan 5th August 2003 03:22 PM

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chheen lo mujhse meri javaani

magar mujhko lautaa do bachpan ka saavan
vo kaaghaz ki kashti, vo baarish kaa paani

Sudarshan Fakir


regards
Sahil Khan


All times are GMT +5.5. The time now is 07:08 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.