Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Gauhar-e-shayri.com (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=53)
-   -   Usne Humko Tadpaaya Bohat...! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78031)

KunaaL 15th October 2014 12:24 PM

Usne Humko Tadpaaya Bohat...!
 
एक सादा बहर मे एक सादा सी ग़ज़ल आपके सामने रख रहा हूँ.. अपनी आरा से ज़रूर नवाज़ियेगा ...

दिल ने दिल को दिल की राहों पे ही उलझाया बोहत..
मे गिरा उठ कर चला फिर खुद पे मुस्काया बोहत..

आके साहिल पे भी मुझको देख पाए क्यूँ नहीं..
मैं लहर बन उनके कदमो से भी टकराया बोहत...

थी बड़ी बेशर्म हमारी जाँ जो निकली ही नहीं..
कर सितम रह रह के उसने हमको तड़पाया बोहत..

कौन जाने की परिंदों को कहाँ किस्मत मिले..
सोच के हमने परों को अपने फैलाया बोहत..

ज़िन्दगी है या पहेली मैं नहीं ये जानता..
इसने उलझाया बोहत तो मैंने सुलझाया बोहत..

और..!

तुम सिफर थे मैं सिफर था इस कहानी के लिए..
जो भी हो इश्क तो शिद्धत से फरमाया बोहत..

कुनाल (सिफर)

Dil ne dil ko dil ki raahoN pe hi uljhaaya bohat..
Main gira uth kar chala phir khud pe Muskaaya bohat..

Aake saahil pe bhi mujhko dekh paaye kyuN nahi..
MaiN lehar ban unke kadmo se bhi takraaya bohat..

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Koun jaane ke parindoN ko kahan kismat mile..
Soch ke humne ParoN ko apne failaya bohat..

Zindagi hai ya paheli mai nahi ye jaanta..
Isne uljhaya bohat to maine sujhaaya bohat...

Aur...!

Tum sifar the main sifar tha is kahaani ke liye.
Jo bhi ho par Ishq to shiddat se farmaaya bohat..

Kunaal(Sifar)

sunita thakur 15th October 2014 12:58 PM

Quote:

Originally Posted by KunaaL (Post 470120)

Kunaal ji....behad khoobsurat gazal bazm ki nazar ki hai aapne, sabhi sher bemisaal hai...bahut accha lga aapko padna...dil se daad hazir hai. en bemisaal ehsaassoN ke liye aap reps ke haqdaar hai.

reps added +++

sameer'shaad' 15th October 2014 02:43 PM

waahh waahh kunaal saahab... kyaaa kahne aapki taazaa ghazal ke baare me...

bahot shiddat se likhaa hai aapne, aur aaapki wo tadap nazar aa rahi hai is kalaam me...

merii jaanib se bahot si daad aur duaaen pesh hain.... mubaarakbaad zindabaad...

Shaad....

Ahmad Hyderabadi 15th October 2014 03:24 PM

Quote:

Originally Posted by KunaaL (Post 470120)
एक सादा बहर मे एक सादा सी ग़ज़ल आपके सामने रख रहा हूँ.. अपनी आरा से ज़रूर नवाज़ियेगा ...

दिल ने दिल को दिल की राहों पे ही उलझाया बोहत..
मे गिरा उठ कर चला फिर खुद पे मुस्काया बोहत..

आके साहिल पे भी मुझको देख पाए क्यूँ नहीं..
मैं लहर बन उनके कदमो से भी टकराया बोहत...

थी बड़ी बेशर्म हमारी जाँ जो निकली ही नहीं..
कर सितम रह रह के उसने हमको तड़पाया बोहत..

कौन जाने की परिंदों को कहाँ किस्मत मिले..
सोच के हमने परों को अपने फैलाया बोहत..

ज़िन्दगी है या पहेली मैं नहीं ये जानता..
इसने उलझाया बोहत तो मैंने सुलझाया बोहत..

और..!

तुम सिफर थे मैं सिफर था इस कहानी के लिए..
जो भी हो इश्क तो शिद्धत से फरमाया बोहत..

कुनाल (सिफर)

Dil ne dil ko dil ki raahoN pe hi uljhaaya bohat..
Main gira uth kar chala phir khud pe Muskaaya bohat..

Aake saahil pe bhi mujhko dekh paaye kyuN nahi..
MaiN lehar ban unke kadmo se bhi takraaya bohat..

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Koun jaane ke parindoN ko kahan kismat mile..
Soch ke humne ParoN ko apne failaya bohat..

Zindagi hai ya paheli mai nahi ye jaanta..
Isne uljhaya bohat to maine suljhaaya bohat...

Aur...!

Tum sifar the main sifar tha is kahaani ke liye.
Jo bhi ho par Ishq to shiddat se farmaaya bohat..

Kunaal(Sifar)

Aadaab Kunaal Bhaee!

Sub'hanAllah! Bayhadd dilkas wa dilfareb ghazal inaayat ki haye aap janaab nay hamayn!! Dili daad qabool farmaayayn, Zeel k ashaar nay dil mayn ghar kar-liyaa.. bayhad shukriya aapki payshkash ka... ilteja haye aap-say yoon-hee mahfil sajaatay rahayn...

Duago
Ahmad

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Koun jaane ke parindoN ko kahan kismat mile..
Soch ke humne ParoN ko apne failaya bohat..

Zindagi hai ya paheli mai nahi ye jaanta..
Isne uljhaya bohat to maine suljhaaya bohat...

Harash Mahajan 15th October 2014 03:47 PM

एक सुंदर पेशकश कुनाल जी........दाद

KunaaL 16th October 2014 01:31 AM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 470123)

Behad umdaa ghazal hui hai kunal sahab quoted ashaar bemisaal haiN....aapki nayi ghazal padhkar bahot achcha laga.....dheron daad :)

Shukriya

Aapne khaak bande ki kavish ki zarra nawajish ki ..

Khyaal rakhiye apna

kwahish 17th October 2014 01:13 AM

Kunal Bhai Aadaab ...!

Kyaa baat hai bhai bus gazab ki kalaam kahi hai aapne ...
Itna waqt to nahi tha ke koii reply kar sakuN lekin aapki gazal ke maqte ne aur ulaa sher ne jaane nahi diya ...

Is khoob gazal par meri hazaaroN daad kabul kijiye ...
Likhte rahiye ... hume rubaru hone ka mauqa dete rahiye ...

Shaad O aabaad rahiye ...
Khuda Hafez ...

aru 17th October 2014 10:30 AM

kunaal jee...bahut hee umda kalaam likha hai......ek khanjar sa utarta hua.laga mujhe seene mein.....daad kubul karein

Dhaval 17th October 2014 11:26 AM

kunaal bhai:

namaste!

kaise haiN aap?

umdaah Ghazal aur ehsaas bhee laa-jawaab... khushi huii aapko bazm mein deKh kar... yuunhi bazm ki shaan badhaate rahiye aage bhee

KhuSh rahiye... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

sameer'shaad' 17th October 2014 03:33 PM

Kunaal bhai... aapko bahot bahot mubaarak ho Gauhar-e-SDC ka hissa banne ke liye..

aage bhi hame aapkke khoobsurat kalaamoN ka intzzaar rahegaa...

Shaad....

Madhu 14 17th October 2014 04:07 PM

Betareen gazal kunaal ji..gauhar e sdc ka hissa banne ke liye mubarakbaad..aise hi umda kalaam padne ka mauka dete rahe hame....

Hamdam 17th October 2014 10:25 PM

आके साहिल पे भी मुझको देख पाए क्यूँ नहीं..
मैं लहर बन उनके कदमो से भी टकराया बोहत...

थी बड़ी बेशर्म हमारी जाँ जो निकली ही नहीं..
कर सितम रह रह के उसने हमको तड़पाया बोहत..

Kunal ji bahut nayab peshkash rahi aapki ..per uupar bale asharon
ne humein bhaya bahut..

yun hi likhte rahiye ......

Sanjay Sehgal

KunaaL 18th October 2014 02:58 AM

Shukraguzaar huN moderators ka .. main iske kaabil nahi samajhta khud ko.. par mujhe yahan rakhne ke liye shukria .. mere khaak alfaazoN ko izzat bakshi main mutmayiN huN aapke isteqbaal se .. aur kya kahuN..

Khuda ye mehfil aise hi banaye sajaaye rakhe..

Aapka apna

Sifar...

maikasH 19th October 2014 02:29 AM

mubarak ho Kunaal bhai

lekin mubarakbaad se pehle daad par aapka haq ziyaada ban'ta hai aur aapka shukriya adaa karna bhi hum sab ka farz hai jo aapne itte saaloN se is mehfil ko apne Ghar jaisa samm'aan diya hai aur aaj hum sab aapke ba-kamaal qalam se nikle hue besh-qemaati motiiyoN ki chamak ka sukooN haasil kar rahe haiN

ek mayaari qalaam raqm karne par dilii mubarkbaad haazir hai aur shukriya alag se "Tikaa" lijiyega

aap jaise sho'ra se hi is bazm ki raunak bar-qaraar hai aur inshah allah aage bhi rahegi

rab raakha
maikash

palulovable 20th October 2014 01:51 AM

Dil ne dil ko dil ki raahoN pe hi uljhaaya bohat..
Main gira uth kar chala phir khud pe Muskaaya bohat..

Aksar pyar mai aisa hi hota hai khud hi sambhalna padta hai

Aake saahil pe bhi mujhko dekh paaye kyuN nahi..
MaiN lehar ban unke kadmo se bhi takraaya bohat..

Aisa laga padhke is line ko mere hatho likhi jani chahiye thi bahut
Ye to meri feelings hai..

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Besharam jaan nhi hogi kisi ki dua mai honge ap usika hoga asar

Kunaal bahut acha likhte ho ap...meaningfull aap bahut lucky ho jjo apne vichar kitabo mai ache se uttar sakte ho.....kash ki mai bi
Apko padhke kuch acha sikh paun..bhagwan ye apka hunar din pe din badaye
Apke naye post ka dil se intezar rahega

Takecare

zarraa 26th October 2014 03:14 AM

har sher apne aap mein ek duniya hai aur ghazal kaaynaat

bahaut si daad aur dheron mubaarakbaad Kunal sahab

kshitiz 2nd November 2014 12:39 AM

Bahut achhe kunnu..

Lajawaab ..

Aapki kaarigari Ne dil ko bahlaya bahut
Chaahta to tha magar ye kah nahi paya bahut

Sher aapki shaan me tha kubool farmaaeiN

Dil baag baag ho gaya

masti 2nd November 2014 12:49 AM

Quote:

Originally Posted by KunaaL (Post 470120)
एक सादा बहर मे एक सादा सी ग़ज़ल आपके सामने रख रहा हूँ.. अपनी आरा से ज़रूर नवाज़ियेगा ...

दिल ने दिल को दिल की राहों पे ही उलझाया बोहत..
मे गिरा उठ कर चला फिर खुद पे मुस्काया बोहत..

आके साहिल पे भी मुझको देख पाए क्यूँ नहीं..
मैं लहर बन उनके कदमो से भी टकराया बोहत...

थी बड़ी बेशर्म हमारी जाँ जो निकली ही नहीं..
कर सितम रह रह के उसने हमको तड़पाया बोहत..

कौन जाने की परिंदों को कहाँ किस्मत मिले..
सोच के हमने परों को अपने फैलाया बोहत..

ज़िन्दगी है या पहेली मैं नहीं ये जानता..
इसने उलझाया बोहत तो मैंने सुलझाया बोहत..

और..!

तुम सिफर थे मैं सिफर था इस कहानी के लिए..
जो भी हो इश्क तो शिद्धत से फरमाया बोहत..

कुनाल (सिफर)

Dil ne dil ko dil ki raahoN pe hi uljhaaya bohat..
Main gira uth kar chala phir khud pe Muskaaya bohat..

Aake saahil pe bhi mujhko dekh paaye kyuN nahi..
MaiN lehar ban unke kadmo se bhi takraaya bohat..

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Koun jaane ke parindoN ko kahan kismat mile..
Soch ke humne ParoN ko apne failaya bohat..

Zindagi hai ya paheli mai nahi ye jaanta..
Isne uljhaya bohat to maine sujhaaya bohat...

Aur...!

Tum sifar the main sifar tha is kahaani ke liye.
Jo bhi ho par Ishq to shiddat se farmaaya bohat..

Kunaal(Sifar)

Wah waah waaaaah.....

Kunal bhai mazaa aa gaya. Aur maqtae ne toh qatal hi kar diya, jaan hi lelo mazaa aa gaya.

Apki bhabhi
Sarika

Qasid 2nd November 2014 01:22 PM

Quote:

Originally Posted by KunaaL (Post 470120)
एक सादा बहर मे एक सादा सी ग़ज़ल आपके सामने रख रहा हूँ.. अपनी आरा से ज़रूर नवाज़ियेगा ...

दिल ने दिल को दिल की राहों पे ही उलझाया बोहत..
मे गिरा उठ कर चला फिर खुद पे मुस्काया बोहत..

आके साहिल पे भी मुझको देख पाए क्यूँ नहीं..
मैं लहर बन उनके कदमो से भी टकराया बोहत...

थी बड़ी बेशर्म हमारी जाँ जो निकली ही नहीं..
कर सितम रह रह के उसने हमको तड़पाया बोहत..

कौन जाने की परिंदों को कहाँ किस्मत मिले..
सोच के हमने परों को अपने फैलाया बोहत..

ज़िन्दगी है या पहेली मैं नहीं ये जानता..
इसने उलझाया बोहत तो मैंने सुलझाया बोहत..

और..!

तुम सिफर थे मैं सिफर था इस कहानी के लिए..
जो भी हो इश्क तो शिद्धत से फरमाया बोहत..

कुनाल (सिफर)

Dil ne dil ko dil ki raahoN pe hi uljhaaya bohat..
Main gira uth kar chala phir khud pe Muskaaya bohat..

Aake saahil pe bhi mujhko dekh paaye kyuN nahi..
MaiN lehar ban unke kadmo se bhi takraaya bohat..

Thi badi besharm humaari JaaN Jo Nikli hi nahi..
kar sitam reh reh ke usne humko tadpaaya bohat..

Koun jaane ke parindoN ko kahan kismat mile..
Soch ke humne ParoN ko apne failaya bohat..

Zindagi hai ya paheli mai nahi ye jaanta..
Isne uljhaya bohat to maine sujhaaya bohat...

Aur...!

Tum sifar the main sifar tha is kahaani ke liye.
Jo bhi ho par Ishq to shiddat se farmaaya bohat..

Kunaal(Sifar)

Tum sifar the main sifar tha is kahaani ke liye.
Jo bhi ho par Ishq to shiddat se farmaaya bohat..

Kunaal kehar dhaa gaye tum is ghazal ke saath...behad umdaa

Yunhi likhte raho..

tumhara apnaa

akant 6th November 2014 07:02 PM

Dear

Bahut hi umda ghazal likhi hai aapne.. bahut khub..

Akant...

chaahat 18th September 2020 07:56 PM

Beautifully written and wonderfully expressed!!

Daad kubool keejiye!!

Priya

Aman_rahi 30th September 2020 05:38 PM

"ज़िन्दगी है या पहेली मैं नहीं ये जानता..
इसने उलझाया बोहत तो मैंने सुलझाया बोहत.."

ek tak dekein to yahi lagta hai...

Dard-e-sush 17th April 2021 02:26 AM

Hi Kunaal!

Really very well expressed.

Speechless.

Take Good Very Care of yourself
God Bless

sukanya 16th October 2021 10:27 PM

Wow Kunaal
Bahut Khoobsurat likha hay.Bahut kushi hui tumhare alfaz dekh.
Di

KunaaL 22nd March 2022 02:25 PM

Jaane kahan gaye wo din sab kuch pichle janam main huaa lagta hai

maikasH 3rd October 2022 02:40 AM

Quote:

Originally Posted by KunaaL (Post 497564)
Jaane kahan gaye wo din sab kuch pichle janam main huaa lagta hai

Tum bulaao aur hum na aayeN
aise to bure haalaat nahiiN!

All times are GMT +5.5. The time now is 08:49 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.