View Single Post
Old
  (#11)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
27th October 2014, 08:11 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN


n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN


jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN


tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN


maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN


hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN


jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN


bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN


buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN


sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN


-zarraa


*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded
Zarra sahab bahut hi khoobsoorat bayaaN kii hai aapne apne ahsaasoN ko.....dili daad.....sach kahuN to be-shumaar daad aapke is peshash per....
har sher behtareen...........

"jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN"

bahut khoob dost.....


Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote