View Single Post
Old
  (#43)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
7th July 2015, 06:35 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
rajinder jee... ishq par aapki kya raaey haii....
Dhaval jee aapka prahn bada hi gahra aur man ko sukh dene wala hai. Ishq yani prem yani pyaar iski vyakhya karna asambhav nahi to mushkil jaroor hai. Bade bade gyaani bhi iski vyakhya karne me kabhi apne ko safal nahi maante.
Kabeer sahab ne to yahan tak kaha "POTHI PADHI PADHI JAG MUA PANDIT BHAYO NAA KOY AUR DHAAYEE AAKHAR PREM KA PADHE YEE SUPANDIT HOYE."
Apne shabdon me kuchh kahne ki koshish karta hoon Meri nazar me prem teen prakaar hai. ek nikrisht shreni, madhyam shreni aur sarvotam shreni ise bhi agar prem upar ho jaaye to vo ibaadat ban jaata hai.

Nikrisht prem vo hai jisme prem karne wala prem to karta hai par chahta hai vo bhi mujhse prem kare aur agar nahi karta to vo prem nafrat me badal jaata. Aur vo apne premaspad ko barbaad karne par tul jaata hai. Jaisa aajkal ho raha hai is prem me poorntah vaasna hai isliye yeh nikrisht shreeni hai.

Madhyam shreni ka prem me bhi premi saamne se prem ki chahat rakhta hai agar saamne premaspad se prem mila to theek nahi milta to apne andar ghutta hai nirasha se bhar jaata hai par apne premaspad ko nuksaan nahi pahuchaata par is prem me bhi vaasna hai. vastutah yeh dono prem milan par adhaarit hai isme virah ka koi sthaan nahi hai.

Sarvotam shreni vo hai jisme premi milan aur virah me premaspad ke prati ek utkrisht sthiti me rahta hai. Milan me jahan premaspad saamne hota hai vahi virah me us premi ko premaspad ki anoobhooti har jagah hoti hai har vastu har kriya me use premaspad ki anoobhooti hoti hai vo jeeta hai to premaspad ke liye har kaary karta hai usi ke liye vo apna sarvasv bhool jaata hai use apna bhaan nahi rahta sirf premaspad hi uski har dhadhkan har saans har kaary me rahta hai vo shingaar bhi karta hai vo isliye ki usse usko prasannta hogi yani har kaary sirf premaspad ki prasannta ke liye aur koi uska lakshy nahi rah jaata.

Premi vo hai jo apna bhaan hi kho de, apna bhaan hi na rahe yeh bhi bhaan na rahe mai prem karta hoon. Mil jaaye dhoodh me paani ki tarah jab agni me ubaloge to ud jaayega vaashp ban kar par apne premaspad par aanch bhi na aane dega. Kaun jaane tha bhi ki nahi apne ko nayo chhaabar kar dega aur kahega bhi nahi. Vaastvik prem karna param durlabh hai shabdon se khelna aur baat hai prem karna aur baat.

Prem ki yahi avastha ibaadat hai ishwar se milan hai jahan kah sakte hain sabse upar rab aur rab uncha ishk.

dhaval jee mere paas shabd nahi hai ishk ki paribhaasha karne ke liye bas yeh chhota sa pryaas hai.

Radhe Radhe


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com

Last edited by ISHK EK IBADAT; 7th July 2015 at 06:41 PM..
   
Reply With Quote