View Single Post
Old
  (#57)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
9th July 2015, 12:44 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Lii Jiye BaDhe Bhai ... Hum AapKa Intezaar Khat'm Kiye Dete HaiN ...

Iss Sawaal Ke Saath ......


Maa'N ... Pat'Ni ... Bahan Aur Beti Ke Qirdaar MeN Aurat Ki Bhaagedaari Aaj Ki Sanskriti Ke Sandharbh MeN Puroosh Ke Saath ... Aap Kahaa'N Paate HaiN ? Apna Dristhikon Rakhiye !
Naresh Bhai, Naari ki bhaagidaari ke begair to is sansaar ki kalpna hi nahi ki jaa sakti. Pahle aur aaj ke sandarbh me itna farak pada hai ki naari ne apne kandhe aur majboot kar liye hain aur bhaagidaari me apna hissa purshon se jyada kar liya hai. Pahle naari ghar ki vyavastha tak seemit thi. Par ab Maa ke rup me usne paalan poshan ke saath saath bachhon ki shiksha ka bhojh bhi apne upar liya hai. Patni ke rup me ghar vyavastha ke alawa earnings ka bhojh bhi utha liya hai. Bahan ke kirdaar me jahan bhai ko sneh dena uska dhyaan rakhne ke alaawa ghar me maa ko sahyog aur pita ke saath fir aarthik madad ke liye bhi tyaar hai aur karti hai. Jahan tak naari swatnatrata aur sanskaaron ki baat hai to vo pahle bhi sanskaari thi aur aaj bhi poorantah sanskaari hai badon ka sammaan aur chhoto ko pyaar uska swabhaav hai aur parivaar ko samarpan pahle bhi tha ab bhi hai exception har jagah hoti hai uspar vichaar nahi karna chahiye. Jahan tak uski swatantrata ka sawaal hai uske liye bhi vo prashansniiye hai ki bhartiya sanskaaron ke saath hi apni swantrata ki taraf uske kadam badh rahe hain. Ab vo apne faisle khud lene lagi hai apni baat nirbheek ho kar kahti hai, galat kaamon ka virodh bhi karti hai aur har kshetr me uski pragati yeh dikhaati hai ki shaaririk bal me purush se kam ho lekin budhimata me usse do haath aage hi hai. Aur jaise jaise sansaar aage bad raha hai vahan budhi ki jyada jaroorat padegi sharirik bal ki nahi aur ek baat hamesha se naari sahansheelta me purush se aage hi rahi hai purush tootta hai to naari hi use sambhaal paati hai.

Naresh in thode shabdon me shayad mai apni baat tumhaare sawaal ke jawaab me samjhaa paaya hoonga aisi asha hai.

radhe radhe



Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com

Last edited by ISHK EK IBADAT; 9th July 2015 at 12:51 PM..
   
Reply With Quote