View Single Post
Old
  (#30)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
5th September 2015, 09:23 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post


Wah pehle to main Sunita Didi ka shukriya karna chahunga ki itne aala shayar to dhuund kar humhe unki zindagi unki shayri se rubaaruu karwaana ka mauka diya hai....

Harash ji Welcome to Interview zone !!!

Yun to shayad aapse jyaada relate kar paata hoon aur shukrguzaar hoon ki maine aapke saath 2-3 ghante aamne saamne bitaaye hai..

Doston - Harash ji jitne SDC par down to earth nazar aate hai asal zindagi mein vo usse bhi jyaada down to earth hai agar aap mein se kisi ko bhi inko milne ka mauka mile to aapko meri baat samajh mein aayegi....

Harash ji chahunga ki aap apna school waala kissa sunaye sabse pehle jaha aapne apni pehli kavita likhi thi, mujhe vo ab tak yaad hai aur main chahta hoon ki aap baaki logon se bhi vo qissa share karein...

intezaar mein...


Janaab Anubhav Minocha ji Urf Mast ji aadaab, khato-khatawat ke is zone meiN aapki mohabbatoN ke liye shukriyaa – Aapne sach farmaaya , aapke saath aamne saamne bitaaye 2-3 ghante sach meiN bahut hi lutf bhare the……Mast ji aapse mulaaqaat ki chhaap abhi tak zahen meiN taazi hai….hamaare darmiyaaN ki guftagu meiN bachpan ka kuchh hissa aapse saanjha kiya tha ….. kuchh kisse toh aise hote haiN jo bhulaaye nahiN bhoolte … mere lekhan ke safar meiN jahaN hameiN ye bhi maloom nahiN tha ke ham kuch likhte bhi haiN mazaak-mazaakh meiN gaanoN ( songs) par parody banana hamaare liye aam sii baat thi…..tuk bandi kii our parallel song tayyar.Leejiye Anubhav ji ek our kissa aapki muhabbatoN ke hawaale ... Aajkal ka toh pata nahiN hamaare school meiN har teacher ka kuch na kuch naam-karan kar diya jaata tha…. Our demand seedhe se hamse ho jaaya karti thi ke “Doctor” is par kuch tukbandi ho jaaye… Ab school ke waqt meiN sabhi mere sehpaathi hameiN “Doctor” ke naam se pukaarte the. Ab chunki mere father Doctor the so mujhe isi naam se sambodhan hota tha. Hamaara ek teacher poora ganja tha …toh unke liye dostoN ki demand aayii to hamne bhi aanan faanan meiN, apni samajh ko idher udher ghumaya our ek song par perodi utaar dii ……. Wo gana aapne bhi bahut suna hoga , apne waqt meiN wo gana bahut hi mash’hoor hua karta tha,
saahir Ludhiyaanvi ji ka hamraaz movie ka ek geet

“Ai Neele Gagan ke tale dharti ka pyaar pale,
Aise hi jag meiN , aati haiN subheN, aise hi sham dhale.”

Hamne isko apni pairodi meiN kuch yuN tabdeel kiya

“Ai Neele Gagan ke tale Ganje ka taanga chale,
Ganje ka tanga Ganji ko lekar jungle ki or chale.”

school ke aannual function meiN hamne stage par is pairodi ko suna diya …to janaab sabhi teachers our students khoob hanse….. teachers ne bhi khoob majaa liya anjaane meiN us Ganje teacher Sir ki taraf dekhte hue … kuch students jinheN sab pata thaw o behudgi ki had tak zam kar hans rahe the. our hameiN stage se utane ke baad us par shaabaashi bhi khoob mili. Our function ke baad school ki chhuttiyaaN ho gayiN our sab Ghar chale gaye. ChhuttiyaaN jab khatam hui toh ham jaise hi school, apni class meiN pahunche, toh principle sahib ka chapraasi class meiN aaya or mera naam pukaar kar kahaa, aapko principle sahib ne talab kiya hai. Principle sahib ke naam se un dinoN toh waise hi hawa khushk ho jaati thi sabki….. ham bhi darte darte principle sahib ke room meiN pahunche. WahaaN hamaare Sanskrit ke teacher pahle hi mouzood the. Our jor jor se principle sahib ko kuch bataane meiN lage the…..mere jaane par unki Guftagu ek dam band ho gayi our dono meri taraf mukhatib ho kar dekhne lage ….principle sahib ne mujhe dekhte hi kaha oh ! toh phir aap haiN… ( Anubhav ji aapko jo kissa hamne sunaya tha woh us waqt principal sahib ko dhyaan aa gaya usi ke reference ko yaad kar unhoN ne yuN kaha ) Is par Principle sahib ne hamaare Sanskrit ke teacher ko waaapis class meiN bhej diya ye kah kar ki aapki class miss ho rahi aap jaaiye…is bacche ki maiN class leta hooN. Us teacher ke jaane ke baad….Principle sahib mere us gaane ki pairodi yaad kar phir jor se hanse lage….maiN ek dam stabd serious ho gayaa ….mujhe wo us waqt principal sahib ki hans,i ek villain ki, lagne lagi ….thodi der hansne ke baad unhone mujh se kaha harash beta ye kya hai ?….sach meiN tumne “apne teacher par” wo gaana banaya tha ?? …..maiN bhi kabhi haaN our kabhi naa karta raha ---isi beech- “beta daro nahiN…..tumhara ye art hai, mujhe bahut pasand hai, lekin beta tum honhaar bacche ho, our tum meiN hunar bhi hai…apne hunar par kabhi ….ek toh gumaan na karna …na kabhi apne hunar ko aise istemaal karna jis se kisi ko takleef ho…..agar tumhaare hunar se kisi ko takleef hoti hai toh samajh lo aapka hunar badne ki bajaaye ghatne lagega” ye kah kar meri peeth par haath rakha our jaane ke liye kaha.
……iss baat se maiN khud bhi aahat hua. Our us haadse ke baad se kisi vyakti vishesh par tanzia nagmeiN kahna maine band kar diya.


  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote