View Single Post
Old
  (#5)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
24th March 2007, 12:35 PM

hi ghayal ji,
kese hai aap?

ghayal ji aaaj to aapne kamal hi kar diya,
ghayal ji aaj aapko ek bat batau aapne jo yaha apna naam rakha hai ki ghayal shayar use padhke hi ek dard dil mein peda hota hai ki koi bewafaa ne aapko ye likhne pe majbur kiya hai par aaj aap jis andaaz mein hamare samne nazar aaye ho kya kahe aapko...

aur baat rahi aapki rachna ki wo to hazaron mein ek hai aapne jis khubsurati se apna dard aur pyar yaha bayan kiya hai wo hamein bahut hi pasand aaya hai. khas karke wo koshish jis mein aapne apne pyaar ka dard aur usi dard ke ghaw pe pyar ki dawa...

esi kuch koshish jo aapki hamari aankho hi nahi dil ko bhi chhui hai...

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.

Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!


GHAYAL JI mein to kehta hu aapki puri rachna hi hamare dil mein aaj basi hai

kuch hamari taraf se bhi aapki rachna pe....

Raat hui jab sham ke bad,
Teri yaad aai har baat ke bad,
Humne khamosh rehkar bhi dekha,
Teri aawaz aai har sans ke bad.

Kab dil teri yaad mein chur nahin hota,
Kab tujse milne ko dil majbur nahin hota,
Ye sach hai zindagi mein dil usi ka tutta hai,
Jiska koi kasur nahin hota.


ghayal ji aapki rachna ko padhke jo mukarte the aaj aapki rachna se unka bhi sir juka hoga

ese hi likhte rehna aur mehfil mein ujala karte rehna
aapka dost
Merul

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
Bazm ko is nacheez "ghayal" ka salaam, aaj muddatoN baad badi dil se koi nazm likhi hai, umeed karta huN sabko pasand aayegi....!

Tune hume faramosh kar diya,, par hum na tujhe bhulaa sake,, apno ne rusva kiya hume,, gair kahaaN ye dil dukhaa sake,, lakh aaye! gumoN ke baadal,, par in aNkhiyaN ko na rulaa sake,, ab hijr-e-yaar ki duaa karte haiN,, aakhir dushmani jo tehri asar se duaa ko,, aaj karte haiN hum v guzarish sabse,, eh ahal-e-bazm humko bhulaa do….!

Haan sach bhulaa do…!



Teri yaad aati hai,

Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

Kabhi chubhati,kabhi gudgudati hai,
Teri yaad aati hai…!


Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Kabhi rulaati, kabhi haNsaati hai,
Teri yaad aati hai…!


Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

Kabhi jalaati, kabhi bujhaati hai,
Teri yaad aati hai…!


Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!

Kabhi chupaati hai, kabhi dikhaati hai,
Teri yaad aati hai….!


Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!

Kabhi bhulaati, kabhi apnaati hai,
Teri yaad aati hai….!


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote