View Single Post
Old
  (#2)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
14th October 2006, 12:01 AM

Quote:
Originally Posted by ahsan View Post
Mehfil me unki jaane ka iraada aaya
jaake dekha to khud ko bahut der paaya.

Jisko dil me chupaneki koshish thi meri
ghairoN ke beech aaj usiko benaqaab paaya.

Likha tha usey khat woh bhi ek baar
jawwab aaya unsey to dubaara dil likh na paaya.

DosthoN se apni dil ki baath kehney aaya
kambhakhT har kisiko, wohi kahani sunathey paaya.

Zameen phisal gayi kadmoN ke neechey meri
haath me jab unki shaadi ka paigaam paaya.

Kya khata huee ki ye din dekhney ko aaya
fizool ke sawaal aaj dil ne hazaaroN mein paaya.

Akeley me tum kitna bhi roliyeh "ahsan"
logoN ke beech phir bhi yeh dil has na paaya.
ahsan ji aaj apke iss kalaam par nazar pari.............achha laga aaj apko parh kar.......bahot khoob likha hai apne..........har line me dard ka ehasaas ho raha hai.......last sher dil ko chhu gaya ji..........meri daad kabool farmaiye janaab ahsan ji.ok ji

grazie

aapki dost
pooja


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote