View Single Post
nazm aur ghazal meN farQ
Old
  (#1)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
nazm aur ghazal meN farQ - 21st October 2008, 04:03 AM

nazm aur ghazal meN farQ
Ghazal :- Ghazal ke lughvi maa'ni haiN "a'urtoN ke saath baat cheet aur i'shQ baazi (shaa'iri )."
who Sanaf-sukhn (kind of speech) jis meN a'moman"(generally) Husn–o-i'shQ , viSaal-o-firaaQ , sharaab-o-shabaab aur tasavuf-o-ma'rfat (mysticism) waghera ki baatieN kahi jaaieN
lakin ghazal is Had bandi ki paband nahieN rahi , ab is meN har Qisam ke mouZooa'at-o-masail nazm kiye jaate haiN , is ka her she'r a'moman (generally) mukhtalif maZmoon(subject) per mushtamil hota hai , iska pehla she'r matla' kehlaata hai , jis ke donoN miSre'y hum radeef hum Qaafiaa hote haiN , baaQi asha'ar ke misra'-e-caani meN Qaafia radeef hota hai aakhri she'r jis meN shaa'ir ka takhalus ho maQta' kehlaata hai , sub se ache she'r ko "shah bait" kehte haiN
ghazal kaa unwaan naheeN hotaa .

Nazm:- nazm ke lughvi maa'ni haiN "Peerona"
nazm ko aik hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har sher ek doosre se juRaa hotaa hai aur sab mil kar ek hee mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm kaa ek unwaan hotaa hai.
Nazm meN matle' maQte' kee koi pabandee naheeN hotee


Nazm ki kismeN paai jaati haiN
1: ghazal numaa nazm (who nazm jis meN ghazal jese uSooloN ko lazim rakha jaaey
2: azaad nazm (woh kalam-e-mozoN jis meN Qaafia aur radeef na hoN lakin beHr ho)

Mere naQis e’lm meN itna hi tha … aHbaab se guzrish hai keh unhaiN jitna E’lm hai who bhi hamare saath mil ker e’lm ko aagey beRhaaieN


Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote