View Single Post
Old
  (#27)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
30th June 2014, 01:10 PM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Sahib aapne shaayad meri baat thiik se nahi suni .....Maine daryaft kiya hai ki zafar sahab ne apne sher me'n afsooN ko waahid Yaani ki singular liya hai....jabki afsooN jama'a yaani ki plural hai.......is mutaaliq aap apni beshqiimti aara se nawaaze.......
Ohhho ... sorry Ufaq sahab ... ye baat waaqayee miss ho gayee. muaafi ka talabgaar hoon.

Ye bada hi pecheeda magar aham mudda hai. Is par main bhi seekhna chaahoonga kyunki sure naheen hoon. Agar aap ki koyee theory ho is par to meherbani kar ke farmaayein. Ya koyee Urdu ka pukhtah ilm rakhne waale members rehnumaayee karein is masle par.

Sach poochhiye to main sirf guess work kar sakta hoon yahaan. Ek hypothesis hai meri. Ye link dekhein. Is mein ghalib ne bhi afsoon ko singular lagne waale roop mein istemaal kiya hai. Yahaan ka interpretation hai "incantations for invoking magic" jo ki inherently plural hote hue apne aap mein ek unit hai is liye singular form mein hai. Lagta hai zafar ke sher mein bhi kuchh aisa hi istemaal hua ho shaayad.

http://www.columbia.edu/itc/mealac/p...29/229_03.html


Par jaisa maine arz kiya...ye sirf meri guess hai ...galat bhi ho sakti hai ... aap ya koyee member is par roshni daal sakein to meherbaanee hogi.


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote