View Single Post
Old
  (#97)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
7th July 2014, 12:54 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Aadeil sahab ... pooree ki pooree ghazal hi shaandaar hai aur ye sher bhi bahaut khoob !! Waah sahab "daar us suroor" aur "daar o rasan" ki kya tarkeeb ki hai !! aur un ko ham-jaliis keh ke to kya lutf paida kiya !!! Just Superb !!!

Ek guzaarish hai aap se. Kyunki yahaan maqasad lutf-e-sukhan ke saath saath ilm-e-sukhan haasil karne ka bhi hai, to meri ye darkhwaast hai ki aap agar, zehmat na ho to, is sher ki mukhtasar si sharah kar sakein. Just a small explanation, jis se sabhi members par ye sher pooree tarah se ayaan hi sake aur wo is ke zariye kuchh seekh sakein. Aap ke khoobsurat alfaaz aur gehree fiqr ek achchha mauka dete hain humein kuchh seekhne ka.

Dheron duaon ke saath .... Zarraa
zarraji,
aapka hukm sar aankhoN aapne hamaarii adnaa koshish ko itna navaazaa hai ki use ek mukammal manzar banaa diyaa

lijiye iis sher kii interpretation kar deta hoo.n mere azeez dosto.n ke liye..
daar-us-suruur* ka daar-o-rasan ham-jaliis* hua
phir bhii kadaa-e-yaar me.n be-shakl mai.n hua

daar-us-suroor = nashe kii jagah maanee mae-kadaa ya mae-khaanaa samajh ljiye
daar-o-rasan = gallows (fandaah / faansii ka fandaah)
kadaa-e-yaar = yaaro.n ke milne kii jagah (yaaro.n kii mehfil samajh lijiye)

toh tarjumaa kuch yu.n hoga...
mae-kade ka fandah (mera) paaidaar yaar (constant companion [ham jaliis]) ban gayaa
phir bhii yaaro.n kii mehfil (kadaa-e-yaar) me.n (jab bhii jaataa tha) mai.n be-shakl (faceless/unknown) hi banaa rahaa..

bas itnii si baat kehnii chaahi hai



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote