View Single Post
Old
  (#6)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
22nd November 2006, 03:09 PM

hello,

dhaval aap kabhi kabhi itna gehara likh dete hai ki palken bhiig jaati hai. aapko kuch nahi ataa sacchi, sirf rulana ataa hai.......itna achha likha hai sacchi meri aankho se ek ansu jaroor gira hai......baaki aur meine girne nahi diya mujhe kisine mana kiya thha rone se isi liye....... .......waise aap kahin jaa rahe ho kya??!!!!.....

apni zindagi ke aakhri palon mein
zindagi ko dheere dheere sametunga...

lunga jab tera hath haathon mein
tera hath aakhri bar seene pe rakhunga...

teri baahon me dam na niklega mera
chand saansain aur khuda se mangunga...

kaouf-e-tanhai kii wehshat hai mujhe
tere bina akela main waha kaise rahunga...

mujhe tum zinda rakhna yaadon mein
har raat main tere khaawon mein aaunga...

faasla ho chhahe jitna bhee hum mein
banke sitara asmaa se roz tujhe dekhunga...

banke khoon bahenge ashq aankhon se
jab teri dab dabai aankhon ko dekhunga...

rouh tarppegi har pal 'dhaval' ki dekhna
jab kabhi saath guzre lamho ko sochunga...

kisi ek ke liye kahana to galat hoga. har sher bahot pyaara hai. thhoda dard bhi hai......meri daad kabuul kijiyega.......ok ji

grazie

aapki dost
pooja


===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote