View Single Post
Old
  (#7)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
19th November 2007, 04:40 PM

asslam malekum dhaval miyaa.n

aaj kya baat hai dil ke jani bada dard ikTTha kare fir rahe ho...........

maine kitni baar kaha hai tumhe.........

Log MuTthiyo.n main namak liye firte haiN
Yu.N apne Zakhm Har kisi ko dikhaya na karo
........

bahut sundar dard se bharii or behad apni si dil ke kareeb lagne wali gazal likhi hai aaj aapne....... har ek sher kafi apna sa lagta hai...
poori gazal main kahin mujhe kuch kami si nazar nahi aayii per is word per jara sa dhyan chala gaya..........

naa aaYeNge terii raah meiN kabhi bhi sanam ab
door chale jaaYeNge muHabbat yahiN pe Khatam kar ke

is word ki jagah agar aap koi doosra word use karte to meri raai main shayad accha lagata. hunar mand shayar ho yaar doond ke dekho urdu main koi word mil hi jayega....... haan ek ishara kar sakta hoon "DAFAN" ab apni jaroorat ka aap doond lo..............

shuru se hi aapki shayri ka kayal raha hoon..... to aaj to fir aapne ek kamal ki umda gazzl likhi hai.......

dil se nikli huyii daad kabool farmaiyega..........

shukriyaa........

aapke dil ke behad kareeb ka dost
Dilip (begana)


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote