View Single Post
Old
  (#7)
m.mayoos
Registered User
m.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud ofm.mayoos has much to be proud of
 
m.mayoos's Avatar
 
Offline
Posts: 665
Join Date: May 2009
Location: Waltham, MA
Rep Power: 26
23rd January 2010, 12:56 AM

bada hi late hai yeh,
Zaid ne abhi M.Ba compalete kiya tha, aur chuttiyan manane Sufi aunty ke yaha aaya tha....


aisaa kyaa huaa thaa aage ki halchal mach gayee - (dil men earthquake kyon aaya) ? sirf do lines hi to bolee gayee thee

Ruby soch mein gum ho gayi, kyun ki Zaid ki shaksiyat ne uske dil mein bhi halchal macha di thi


ruby kyaa padhtee hai? agar vo undergraduate padhtee hai to kaafee faaslaa hogaa donon ki umr men.
zaid 27 ka hai, usne kyaa padhaai kee? bachelor's degree 21 years men haasil ho jaatee hai, mba ke liye do saal aur. so uskee umr takreeban 23/24 baras ki huee. teen saal kahaan ganwaa diye? fail hone men yaan fir kahin naukri kar rahaa thaa?

yeh sab pehle bataanaa padegaa, tabhi kirdaar aur uskaa character saamne aayegaa. fir us character ka style hogaa jis ko tum dialogs men use kar sakte ho i.e. har character ka bolne aur sochne ka andaaz alag honaa chaheeye, nahin ki sab ek saa bol rahe hon.

fir baad men aakaar aur bhee kheenchaaee karoongaa
bahot mazaa aa rahaa hai isme lagtaa hai tabiyat hi kambakhat badal gayee hai meree


ता उम्र रहा इक रोज़-ए -मुकम्मल का इंतज़ार
किसी में शाम न मिली तो किसी में सहर नहीं

Last edited by m.mayoos; 23rd January 2010 at 01:03 AM..
  Send a message via Yahoo to m.mayoos  
Reply With Quote