View Single Post
Old
  (#134)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
30th July 2015, 11:35 AM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Sunita jee,
Love marriage and arrange marriage me ek baat common hai marriage. Love ek alokik bhav hai aur marriage ek sansaarik karm hai. Love aur vishwaas ke bina to koi bhi marriage safal nahi ho sakti. Sansarik karm bhi alokikta ke bina adhure hain. Isliye baat ye honi chahiye ki kya ham marriage ke liye tyaar hai shaaririk bhi aur maansik bhi. Kya marriage ke baad aane wali jimmedariyon ko uthaane ke liye hamne apne aapko tyaar kiya hai.

Love aur arrange me farak sirf itna hai ki love me ham apne saathi ko pahle se kuchh jaante hain kuchh isliye likha hai ki jab tak 24 ghante saath na rahe tab tak ham aupchaarik hi rahte hain. Aur arrange me marriage ke baad jaanne samajhne ki koshish karte hain. Aur dono hi tarah ki marriage safal bhi hain aur asfal bhi hain aisa nahi ki love marriage kam safal hai aur arrange marriage jyada kyonki abhi hamaare samaaj me arranage marriage jyada hoti hai to aisa lagta hai ki love marriage kam safal hoti hai par aisa hai nahi.

Pahle love marriage ki hi baat karte hain isme jab tak marriage nahi hoti tab tak ek doosre ke prati hamaare kartavy nirdhaarit nahi hote isliye ham kalpnaao me jyada rahte hain aur ek doosre se khoob vaade karte hain kai baar to apni pahunch se baahar ke bhi kar dete hain. jaise hi ham kartavyon ki sthiti me aa jaate hain to hame apne adhikaar jyaada nazar aane lagte hain. Agar ham adhikaar aur kartavy me saamanjasy bitha lete hain to love marriage se jyada success koi marriage ho hi nahi sakti. Maine apne jeevan me kai love marriages ko poori tarah success hote dekha hai aur mera maanna hai ki agar couple samajhdaar ho to love marriage behatar hai. Lekin ek hi nuksaan hai iska ki jab bhi matbhed honge to ghar ke log yeh kahne lagte hain tum jaano tumne hi chuna hai ek doosre ko aur apna palla jhaad lete hain. Yaani ghar ka samaaj ka support kam milta hai.

Aur arrange marriage me kalpna ki udaan hoti hai marriage se pahle ek anjaan saathi ke liye yeh adbhut hai ek doosre se anjaan hote hue janmo ke rishte me bandh jaate hain yeh hamaari parampara bhi hai.Is marriage par ek song ki ek line yaad aa gayee
"Kal tak jo begaane the janmon ke meet hain"

Isme bhi asfal aur safalta dono hi hai par jab koi marriage asfalta ki taraf badhti hai to samaaj aur ghar dono use rokne ki koshish karte hain. Love marriage ki tarah isme kisi tarah ke vaade ya pooravagrah nahi hote isliye isme ek doosre ko samajhne aur jaanne ke liye ham mukt hote hain apne ko ek doosre ke anooroop dhaal sakte hain. Nuksaan yeh hai ki yeh ek lottery ki tarah hai agar saamanjasay baith gaya to jeevan swarg nahi to saari zindagi samjhota hi hai samaaj aur ghar ka dabaab jyada rahta hai.

Mera maanna hai aajkal love marriages jyada behtar hain. Yahi chhota sa view hai mere in dono marriages ke baare me

Radhe radhe




shukriya Rajinder ji, aapke vichaar jaankar hame acha lga


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote