View Single Post
Old
  (#4)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
4th July 2006, 01:00 PM


aaj zakh main khoon ka katra nahee hai
ab jaan ko koyee khatra nahee hai

taron main rah ke samjhta hai kya kya
dhartee pe ye chand utra nahee hai

waaah... kya baat kahi hai....


badalne lageen roop abhee se lakeeren
abhee haath usne ye pakara nahee hai

tum hee nahee to kaho kya main gayun
mere geet ka koyee mukhra nahee hai

very welll said... second sher is really well expressed....


wasl ke baad yahee sochta raha main
ek pal bhee maine kyon pakara nahee hai

gira per khayalon ka yaden hain bakee
gira hai jaron se to ukhra nahee hai

nice words....


kaisa laga kya kahen tum ko chhoo ke
kabhee chand ko maine pakra nahee hai

pyar se khauf hai to jayo abhee se
abhee khel zyada bhee bigra nahee hai

uff... too good... yeh do sher bahut hi acche thhe...


tum kahan pahunchee fikr choro us ka
dil main ye masoom to utara naee hai

kya baat hai... well said again...

Hi Anil,

Kaafi dinon baad padha aapko... bahut hi khoobsurat ghazal hai yeh... ghazalein aap kam hi likhte hain... yeh bahut hi acchi lagi mujhe... really very well expressed.... meri daad kubool kijiyega is subdar ghazal par... likhte raha kijiiye yun hi... apna khayal bhi rakhiyega


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote