View Single Post
Old
  (#108)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
13th August 2014, 10:29 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Aadeil sahab ... aapse guftagoo karna to chaah raha tha magar waqt ki tangi kee wajah se takheer me haazir huaa hoon... aapse kuch sawaal...

aap khud me kya changes pate hain tab ke aadeil me aur ab k aadeil me... tb mattlab jab aapne sdc join ki thii...

Kya aapko aisaa lagta hai aapne sdc se kuch seekha hai.. i mean aapke ilm me agar kuch izafa hua hai to kya iske liye aap sdc ko ahem maante hain ya khud ki mehnat ko..

Khud ke kaam me shayri ghazal etc me kis had tak kisii doosre ka involvement pasand karte hain... kya kabhi aisa huaa hai ke kisii ek had ke baad us tabsire ya diacussion se dil uchat jata ho...

Ek acche shayar me kya features hone chahiye....
Filhaal itne hi... fir hazir hounga..

Shaad.....
Shoaibbhai,

aage se ummeed rahegi ki aap yahaaN aayaa karenge jab bhii mauka mile....

mere hisaab se, change & education has no age. aur wahi maine yahaaN aake bhii paayaa hai.

SDC pe aane se pehle shaayri to likhta tha magar kuch bhii likh liya to ghazal samajh leta tha uske asool, maaine kisii bhii cheez ka ilm nahi tha jo mujhe SDC pe aane ke baad kaafi hadd tak mila hai. kaafi hadd tak iis liye, kyuN ki abhii bhii bahot kuch jaannaa aur haasil karna baaki hai... shaayri kii dunya ek vishaal samandar kii tarah hai... jiisme ek shaayar apne khayaaloN ke jhariye dub jaataa hai aur dubte hi rehta hai.. aur jiis tarah se samandar me kaii tarah kii jiiv hote haiN, vaise hi shaayri kii dunya bhii be-intihaa hoti hai aur jab uskii koii intihaa nahi to ilm adhura hi rehta hai

aur kisii bhii kaamiyaabi me sirf ek kaa haath nahi hota... samajhiye agar hum school me paRhte vaqt sirf classroom me baithne jaaye, to kya hame ilm haasil hoga? hum uus muqaam tak pahonch paayenge jo hum haasil karna chahte haiN? aur agar samajhiye ki aap agar ghar pe sirf kitaabeN leke ilm haasil karte haiN kisii bhii ustaad ya aalim kii rehnumaai ke bagair to aap kiis hadd tak aur kitna ilm haasil karenge? to vaisaa hi hai, SDC ne mujhe bahot kuch sikhaayaa hai aur usme meri bhii utnii hi lagan aur mehnat hai

ek shaayar koii bhii ho sakta hai. magar ek achchhe shaayar kii definition behad muhkiil hai. jaise ki upar maine bataayaa ki shaayri ki duniya be-intihaa hai. uskii koii seema nahi.. to kaun shaayar kya soch rakhta hai aur use wo kiis tarah se bayaaN karta hai apne sher me ye koii nahi naap sakta. aur har koii dusre shaayar ke sher kii intepretation apne hisaab se hi karega jo apnii khud kii soch rahengi.

ab Ghalibsaab ke iis sher ko lete haiN...
bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa
moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka

ab uskii interpretation aap kiis tarah karenge? aapkii aur meri aur kaii dusre shaayaroN ya scholars kii interpretation alag alag hongii...

Ghalibsaab aur Meer saab ka ek kissa sunaataa hooN...

Ghalibsaab ko Meer saab ka ek sher itnaa laa javaab lagaa tha ki Ghalibsaab ne uus ek sher pe apnaa pura diwaan Meersaab ko supart kiya tha.

to mere hisaab se shaayar shaayar hota hai, achchha ya bura nahi ho sakta

duaaoN ke saath..



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote