Quote:
Originally Posted by Gyan Saxena
Roshan karne kisi ki duniya pighla hoga chand kahin
Mere ghar se door shahar mein nikla hoga chand kahin…..
Soye nahin hein Barson se sine mein armaan liye
Raham o inaayat karke dar per aa na jaye chand kahin…..
Dar lagta hai usko apne dil ki baat sunane mein
Phir gusse mein tapta suraj na ban jaye chand kahin……
Jaane kya kya kahkar apne dil ko roz manaate hein
Roz bataate hein isko kya aise milta hai Chand kahin……..
Aasman ka ajab nazara bilkul uske shahar sa hai
Laakh sitare saath kahin per our tanha hai Chand kahin………..
|
namaste
khoob Ghazal likhi hai . . . bazm ki shaan yuunhi badhate rahiye
duaaon ke saath ijaazat
aapka
Dhaval