View Single Post
Old
  (#11)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd September 2015, 09:53 AM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Sunita Virender ji mere liye to ye manch Mahfil-e-shouq bhi raha hai yahaaN aanaa our reading ke shouq ki wazeh se likhna kam our padnaa ziyada hota hai, padne ke muaamle meiN jo regular hote haiN unki bhasha ka gyaan ho jaata hai to phir lutf bhi unhi ke kahe shabdoN meiN aana shuru ho jaata hai.

1. SDC par apni pasand ke shayroN ke naamoN se hame bhi ru-b-ru karayeN ?

Aapke is bouncer prashn par ab maiN kya kahuN.. our yahaaN aakar is tarah kuch logon ka naam patal par laana be-maani saa ho jaayega lekin jinki shayrii dil ko chhooti hai na jaane kyuN cursar wahaaN khud hi chala jaata hai…pasandeedah shayar kaho ya unhoN ki shayri ka hunar jo dil ko chhoone meiN kasar nahiN chhodti …in shayroN se kabhi Guftagoo toh nahiN hui...…na hi kabhi mouka mila ..jab hui bhi toh bas thodi bahut…..in shayroN ki tehreeroN meiN jajbaat, be-inteha milte haiN …….magar aisa nahiN hai jinke ashar maiN de raha huN unke ilawa baaki shayro/shayaraoN ke jajbaat pheeke haiN......aisa nahiN hai....is manch par jo bhi haiN bahut hi behtareen shaksiat ke maalik bhi haiN our kahne waale bhi....jinkie hunar ko daad diye bagair nahiN raha ja sakta...ziyada kahuNga to bayas sa mahsoos hogaa ....waise aisi mahfiloN meiN is tarah bolne se parhaze karta huN.....Kam bolne meiN vishwaas rakhta huN...magar Sunita ji ne yahaaN aane ka jaise farmaan suna diya ho.....har rooh se sneh/pyaar rakhta huN..... "Faraz sahab ka ek sher hai ......

"jab kabhi bolna wakt par bolna.mudatto sochna mukhtasar bolna "...Faraz

Leejiye is manch par meri pasandeedaH kalam

Ek Shayar/shayra

“Tabassum chehre par sajaane se hoga kya...?
aansoo chhupaa ke muskurane se hoga kya...?”


Mujhe yaad hai jin dinoN maiN is mahfil-e-khaas meiN aayaa tha mere saamne is shayar ki ek ghazal jo saamne aayii jo mujhe bahut padand thi..har sher ice cream meiN garam chaako ki tarah utarta chala gayaaa……

“Muuhabbat ke gawaah apnii , ye chaaNd sitaare haiN
din humne judaaii ke , gin-gin ke guzaare haiN “

Kitna araam kitna khuloos..kitna dard shayad ye mere hi bhaav ho…..our yahaaN ke acche our tareen shayroN ko pandna unke bhaavoB par hi munassar hota hai……achha kehte haiN our koi tanz-o-lahza se talluk nahiN sapaat…

"bhujhta hai ai chiraaGh-e-ziNdagi to bhujh hi jaa
ab ham se teri aur hifaazat nahiiN hoti.."


Dard se sarabhor…………………

Agla shayar/ shayra

Is shayar meiN dil ko chhoone ki adaa hai ahsaas patal par aate hi aankhoN ko pakadte haiN

"kahe wo mujhe bura to bura kyaa hai
maine khattaon ke siva kiya kyaa hai..…… Kya kahuN"


Agle shaya/shayra ko padh kar yuN lagta hai ki sunte hi chalo..bahut hi oomda our kahen meiN kashish

"sulagti hai raateiN meri, sulagte haiN din
Dilbar tere pyaar ki barsaat baki hai"


ek our shayar/shayra

"Daaman-ae-sabr thaam lo bardh ker
Ae na kehna kahin,Khuda bhi nahin "


Har sher dil –o-demaag padta hai ……

Agle shayar/shayra

"Andhere MeN Jo Murjhaai Sii Hai
Roshni MeN Woh Parchhaai Sii Hai ..."


Agle shayar/shayra

"Ye mohbbat kahaN kisi ke liye asaan hoti hai…
Ye kaisi hanshi hai jo ro ro ke bayaN hoti hai…"


Aise kuch our bhi haiN ….bahut waqt chahiye ..kahaaN tak byaan karooN…. umeed hai jo mouzood haiN SDC maiN ye ahbaab-o-qadar-daanoN ko aap apne aala zoquo se nawazte raheNge....umeed hi nahi yaqeen hai ki aapki inayat aise hi bani rahegi....

2. yu to har shayar ko apni har rachna behad pyari hoti hai...phir bhi ham chahte hai ki aap apni koi 5 rachnao ke link yahan dijiye

Aapke is prashn kuch kahte hue yuN lagta hai ki kis tehreer ko chhodooN our kis ko rakhooN…..lekin ahsaas bator kar likhne meiN our Qaid karne meiN us tahreer ke saath ik rishta sa kaayam ho jaata hai …..jo byaan nahiN kiya ja sakta hai ….kuch tehreeroN ke links haiN jo main yahaN dena chahooNga….

1)Hui YuN GamoN Ki ye shaam Aakhiri hai
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=52863

2) उसको लफ्ज़ ए मुहब्बत सिखाता रहा
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77318

3) ZulfeiN yuiN hi sar-e-aam sanwara na keejiye
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=57022

4) Ho rahe jo haadse yuN baat kuchh toh jaroor hai
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69132

5) Tu RakeeboN Ki jaanib Sarakti Rahi
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=52913

InhiN shabdoN ke saath aaj ka safar ka yahiN ant hua ……umeed karta huN aapko apne swaaloN ka jwaab mil gaya hoga ……

saadar !!!

Du'aaoN ke saath..
Harash ji..aapke jawaab ko padhkar bahut achcha laga mujhe...ek shayr ke liye ye bahut badi baat hoti haibki vo apni shayri se pahchana jaye.....
Aur yahaan ise padhkar un sabko bahut khushi huyi hogi yakeenan...

Aapke diye huye sare link abhi nahi padh saki main .....
Par usko lafz e muhabbat padhi....aur bahut sukoon hasil hua padhkar....bahut shukriya jo aapne ye link hamare sath share kiye.......



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote