View Single Post
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
23rd April 2007, 03:40 PM

Quote:
Originally Posted by jasdeephere View Post
Na chhed mere jazbaaton ko,
Dil ka dard ruk na payega,
Jo hui hulchul itefaak se bhi,
To ghamon ka paimana chhalak jayega

Mat de hawa dabi hui un chingaariyon ko,
Warna tera bhi daaman is aag se jal jayega

Kaid hai jo dariya in aankhon mein,
Mat de usko aur ashko ke moti,
Nahi to woh bhi bewajah beh jayega

Kaise bhool pauga woh beete hue pal,
Kaise mita pauga uski yaadein is dil se,
Jab usi ka hi ehsaas meri har saans se ayega

Yeh woh zakhm hai jo mile hai wafa ke badle,
Yeh woh tohfe hai jo uski nishaniyan hai,
Agar kahu usko bewafa to daag mohabbat pe lag jayega

Chala jauga mehfilon se tanhai mein
Aur phir dhoondhuga mehfilon ko hi tanhai mein,
Shayad yehi ek aakhri mukaam zindagi mein ayega

Kyun bichha ke baithu main nigaahe uski raahon mein,
Kyun karoo aaj bhi intezaar uske aane ka “JASSI”
Waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega

Waqt woh bhi na raha to waqt yeh bhi chala jayega
dear jasdeep
bahut khoob likha hai aapne....har sher dil se hokar gujra...sahi kaha aapne...agar accha waqt jayada der nahi rukta...to bura waqt bhi hamesha nahi raheyga....bahut acchey vichaar hai.n....sadha kush raho.

god bless u


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote