View Single Post
Old
  (#39)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
7th September 2015, 10:15 PM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
=========

Mujhe lagta hai shayri.com par yaqeenan meri Janam Kundli banakar hi chhodeNge aap log..ye nayaab taree’ka hai kisi ke baare meiN sab kuch jan.ne ka…

1.shayri ke alawa aur kya kya shauk rakhte hain aap...


-ye Jag vidit hai ke umra ke hisaab se shouq bhi apna astitva badalta jaata hai….bachpan meiN shouq active tha aaj wo active ka hokar passive sa ho kar rah gayaa hai….

-Out door Sports …jiska main pahle bhi Zikra kar chukka hooN… Hockey ka full back player tha .. lekin aajkal sab band – Cricket ka zanoon logon meiN hota hai to TV par wahi dekhte haiN….waise World Cup jab pak meiN hua to dekhne ke liye Lahore ja chukka huN.
- English Poetry—Internet par sabse pahle Hindi ki bajaaye English poetry shuru hui
Shayad uska link yahaN dena munasib na ho.
-Ek tele Film ( One and half hour)– written by me “Chinaar Ki SargoshiaaN “…
Subject = Atankwaad ---produced and directed by Ms Kanchan Vatan, released in 1997 Shown at Delhi Doorshan.
-Writing Serials
-Story writing
-Reading Books – as a feedback for my writing--related to any type of shayri ….and love to find simple to simple words which can be used my writes…as I want my shayri so simple..even a lay man could understand..and it should look as mine….it shouldn’t have the words to look like a bundle of borrowed words….

2.ab kuch pasand aur na pasand.....

-place for holidays.. Simla, Mussorie, any such cool place…..lekin Simla I have gone for 12 times upto 1981 afterwards one time last year

-favourite food….. Simple Veg food …. Rice at night as a light food....

-old or new songs………… Old Songs

-romantic or sad songs….. Sad Songs

-movies or theater……… Not good in it….agar koii khaas acchhi Scipt ho to zaroor jaata hooN.

-reading or listening………. Both

3) agar aap ki book suggest karna chahein jisne aapko bahut muttasir kiya ho to vo kaun si hogi...

- sach poocho to Madhu ji Pahle ki baat our thi magar jab se computer ka zamana
aaya hai sara waqt isee per nikal jata hai. Ab kisi ko kitab haath meN lene ki Fursat hi kahan. Urdu sites bhi bahut haiN our Hindi sites bhi bahut haiN wahiN reading meiN waqt , jitna bhi milta hai ..bita deta hooN…. Main kisi bhi manch par ab nahiN janaa hota …… Na jaane kyuN Sunitaa ji dastak par unke zahneey pyaar ko dekhte hue bas chalaa aaya – Achhi our simple shahyri kehne waaloN ke liye Rekhta ek achhi site hai.

ab kuch dil ki baatein jinke jawaab main aapke lafzon me janna chahoongi...

a) apne ehsaas kisi par zahir karne chahiye ya nahi aap kya kahenge kya kisi samne ro lene se aap kamzor ho jate hain..ya aansoo bah jane ke baad aapko nayi takat dete hain...

- Aapke is swaal ka jawaab – shayad mere kisi kathan meiN aapko zaroor mil jaayega…..Insaan ek aisa shaks hai jisey doosroN ki zindagi meiN jhaankne ka bahut shouq hota hai….chahe wo legal taree’ka ho ya illegal taree’ka. Na jaane aisa kyuN hai….chahe WO us shaks ko jaanta hai ya nahiN. Us ki personal zindagi ke baare meiN sun.ne ke liye ghanto bitaa sakta hai….lekin kya wo uska dost hai ? bhayii hai ? our ya koi our Rishta? Aisa nahiN hai.
Har kisi ko aap apna nahiN kah sakte….balki kisi ko bhi aap apna nahiN kah sakte jo aapke dil ki baate aap jaise hi dil meiN rakh kar share kar sake…our dukhoN/khushiyoN meiN aapka sath de sake…ya shareek ho sake .
bahut kam shaks hote haiN jinheN aapke dukh se dukh our aapki khushi se khushi hoti hai…warnaa sabhi aapke dukhoN par Hanse ge our khushi our kaamyaabi meiN jeolousey kareNge…ooper se khush hone ka dikhawa bhar hi hota hai……Yaqeenan koi aisa dost jisey aapne apni friend list meiN daakhil kiya ho jisey aap asal friend kah sake koi rare hi ho sakta hai… …kyuN ki ek dost hi aisa shaks ho sakta hai jis se aap apne gam o khush takseem kar sakte haiN. Apne hamsafar ke saath bhi kayii baar aap apni sab baateiN share nahiN karte jo aap apne dost se kar sakte haN. Jis se aap share kar ke apne aap ko halka mehsoos karte haiN. Friend wahi jiske sabhi pros n cons ek doosre ko apnaane hote haiN…..kuch kamiyaN sabhi meiN hoti haiN…..wo bhi apnaani hoti haiN…Asal dost ke saath share karne meiN koi harz nahiN….lekin dost wahi jo asal dost ho…Zism do jaan ek. Aise shaks ke aage apne aansoo bahaane se aapko raahat zaroor milegi anyatha nahiN.

b)kya apne dil ke jazbaat dil me rakhna zyada sahi hai....

- Ye us baat us jazbaat ki Gehraaii par munassar jis baat ko lekar aap itna sanjeedah haiN…kaii baar dil ke jazbaat dil meiN hi jazb karne se depression meiN bhi jaane ka andesaa ho sakta hai…is liye us uljhan ko suljhaane ke liye us se related person se ya us baat ka relation jis se bhi ho …ya us uljhan ko suljhaane ka koi bhi tareeka dhoondhne meiN hi behtaree hai .
ya aise jazbaat waqt par zaahir na hone se nuksaan bhi ho sakta hai……ya waqt se pehle zaahir karne se nuksaan ho sakta

c) kabhi kisi ki baton se bahut dil dukha ho...aisi situation me kya karna chahiye...

-Jitni ziyada nazdeeki hogi mann utna ziyada aahat hoga---so –have a patience – waqt ka intzaar- wo agar aapka apna hai --- toh zaroor waapis aayega aapke zakhm ka dard door karne ke liye anyatha nahiN……waqt rehte sambhalna hi theek hai.


Saabhaar !!!


Namaskaar harash ji....
......
Mujhe khushi hai ki maine aapse ye sawaal kiye aur aapke bare me aur bhi janne ko mila......
Sahi kaha aapne umra ke sath shauk bhi badalte rahte hain..

Aapne hamse chinaar ki sargoshiyon ka zikra kiya mujhe khushi huyi ki aapke is hunar ke bare me main jaan payi...
Apni likhi koi short story hamse bhi share kijiyega agar munasib samjhein to.....

aajkal net par reading ka matter bahut hai aur zyadatar log ise hee prefer karte hain.....sahi baat hai ye..

..aapne meri dil ki uljhano ka jawaab bahut gahrai de diya sir bahut shukriya...sach hai..apna kahne aur apna hone me bahut fark hai...aur utna hee sach ye bhi ki bahut mushkil hai duniya me ki wakai koi apna mil jaye..jo aapke ehsaason ko apki tarah samajh paye.....bahut sahi baat kahi aapne..

Ek baar fir bahut bahut shukriya...jo aapne apne keemti vaqt me se kuch vaqt mere sawalon ke liye nikala......

Ijazat dijiyega...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote