4th November 2011, 07:51 PM
Quote:
Originally Posted by *AnAmikA*
<>*Aaj badla badla sa ye ghar lagta hai*<>
Aaj badla badla sa ye ghar lagta hai
Anjana sa apna hi shahar lagta hai
Har nazar me apne liye nafrat hai
Badla hua sa har manzar lagta hai
Khudse hi chhupti fir rahi hun main
Aaine se nazar milate dar lagta hai
Kho n jaun kahin in mast baharon me
Bada tanha ye sukha shajar lagta hai
Khilone ki tarha khela hai dil se mere
Bhar gaya ab uska dil-jigar lagta hai
Khun se range hain tere hath *kasak*
Aayega kahin fir se kahar lagta hai…!!!
|
Anamika Jee aaj pahli baaar aapko SDC me padhaa hai aur ye aapka pahlaa qalaam hai waah.. just superb
Is Pur asar Ghazal ke liye daad ka Nazraana pesh kartaa hoon.... Ummeed kartaa hoon qabool farmaaiyegaa... Likhtii rahiyegaa aur apnaa khayaal rakhiye.... All the very best.
Shaad...
|