View Single Post
tanha hoon to apni meri koshish bhi hai is main
Old
  (#1)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
tanha hoon to apni meri koshish bhi hai is main - 17th June 2008, 01:17 AM

tanha hoon to apni meri koshish bhi hai is main
aur kuch meri taqdeer ki sazish bhi hai is main

uper se faqat raakh ka ik dhair sahi dil
neeche kahin thorri abhi aatish bhi hai is main

ye rooh ka sannata nahin itna bhi khamosh
ik shor sa kerti hoi khuwahish bhi hai is main

ye zindagi ik pyas ka sehra hi nahin hai
her lamha tere dard ki baarish bhi hai is main

jamid nahi itna bhi lahoo meri ragon main
baqi abhi mohoom si gerdish bhi hai is main

ye meri ghazal tere hi rangon ka bayan hai
us per se mera rang e nigarish bhi hai is main


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote