View Single Post
Old
  (#23)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
25th June 2015, 02:56 PM

Quote:
Originally Posted by Pulkit_gupta View Post
Doston,

Mann me kucch khayal aaye aur arse baad unhe kaagaz par utaarne ki koshish ki hai. Kucch khayaal aise hote hain doston jo har forum ke liye nahin bane to please ise Facebook page yaa kisi aur forum me mujhe tag karke naa share karen

Mere ehsaas maine yun hi bayaan kiye hain to inhe technically judge naa karen kyunki main kacche pakke alfaazon me bass likh deta hoon mann ki baat.


Poocha maine dil se kyaa baat tujhe sataati hai,
Sab to hai, dekh honthon pe hansi bhi khilkhilati hai

Dil bolaa sab hokar bhi tab kami si nazar aati hai,
Yaad jab kisi khaas ki mujhko aa sataati hai

Yaad woh aisi hai jo barson me dhundli naa huwi
Adhoora kucch hone ka ehsaas mujhe dilaati hai

Woh jo naa hokar bhi rehte hain mere kareeb
Nami un palkon ki de dhadkan meri badhaati hai

Tum kya sochte ho Pulkit ke aansoo sukha lene se
Har baat dil ki dabkar dil me hi reh jaati hai

Muskuraakar tum zamaane se to chhupa loge qissa-e-gham
Par bhala dil se kab dil ki baat koi chhup paati hai

Bohot achhi peshkash jenab.
Waise he saada, saral shabdoN meiN zindagi ka falsafa bakhuubi bayaan kiya hai. Dil se daad. Bohot khuub.
Aur achha lag raha hai aapko regular dekh kar. Aaate rahiye aur apna khayaal rakhiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote