View Single Post
Old
  (#15)
fezan
Registered User
fezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud of
 
fezan's Avatar
 
Offline
Posts: 835
Join Date: Jul 2008
Location: Shehr-e-Adab
Rep Power: 26
22nd October 2009, 04:27 PM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Kyun main har baat se anjaan sa huN
Kya main masoom sa Nadaan sa huN

Thi meri bhi chamak sitaroN si kabhi
AaJ MaiN BhI Ek AaM InsaaN sa huN

Jane Kiski Bad Dua Lag Gayi Mujh-ko
KyuN AaJ Kal Main PareshaN sa huN

Aaj Aaya HuN Kal Chala Bhi JauNga
GhaR AaYE Hua Ek MehMaaN sa huN

Naa Raha Josh na hosh Hi mujh meiN
Main Aaj Bikhare Hua TufaaN sa huN

Bus Karta Raha Ibadat Koi kami na ki
Kyun Nazar me Apni BeImaan sa huN

BadalTe WaqT Ko Dekha Jo KwaHisH
Aks Apna Dekh MaiN HairaaN sa huN
Khwahish sahib AAdab

Aapne bahot khoobsurat ghazal kahi hai
dil se daad qubool karen…
sare sher aur ehsaas ache lage……………………

Lekin aapne ise ‘Aapki shayri’ main post kiya hai isliye maine
ismein kuchh islaah karne ki koshish ki hai(halanki main khud
bhi shayri ki field mein abhi talib-e-ilm hi hun)
please bura na maniye ga……………………

Jaise har baat se anjaan sa huN
haan main masoom sa Nadaan sa huN

Thi sitaroN si chamak meri bhi
AaJ lekin AaM InsaaN sa huN

Bad Dua Kiski Lagi hai Mujh-ko
Kisliye AaJ PareshaN sa huN

Aaj Aaya HuN to Kal jana hai
Apne hi GhaR me main MehMaaN sa huN

aaj kuchh hosh nahin hai mujh ko
ek Bikhare Huwe TufaaN sa huN

lakh karta hun Ibadat phir bhi
khud ki Nazron me BeImaan sa huN

badla badla sa hai chehra ‘KhwaHisH’
Aaina Dekh ke HairaaN sa huN

Duaon ke sath
apka dost
Fezan


.
.
.
Koi Aisa Kamaal Ho Jaye
Zindigi Be-Misaal Ho Jaye
   
Reply With Quote