View Single Post
Old
  (#28)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
28th October 2009, 04:07 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
Kyun main har baat se anjaan sa huN
Kya main masoom sa Nadaan sa huN

masoom nadaan aur aap..?

Hmmm Diya Jii, har Insaan jab tak kisi baat se anjaan rehta hai tab tak woh umar ke kisi bhi padav per rahe masoom aur naadaan hi rehta hai....

Thi meri bhi chamak sitaroN si kabhi
AaJ MaiN BhI Ek AaM InsaaN sa huN

hmm sahi hai ya ghalat pata nahi magar achha hai sher

Hmm, Aap bhi sahiN hia aap kya jaane mere bare mein main kya hun aur kya tha... yeh to main hi janta huN... But aap mere gazal ka tafsira kar rahi hai yaa mera...

Jane Kiski Bad Dua Lag Gayi Mujh-ko
KyuN AaJ Kal Main PareshaN sa huN

meri to nahi kasam se

Khuda jaane kiski lagi aapki bhi to lag sakti hai, aap bhi to dost hai humari..

Aaj Aaya HuN Kal Chala Bhi JauNga
GhaR AaYE Hua Ek MehMaaN sa huN

har koi 2 din ka mehmaan hai sameer jee
aap itna sochiye mat

Jii sochna padta hai zindagii char din ki hai, sochna bhi to padenga... ke kaise guzarenge baki din...

Naa Raha Josh na hosh Hi mujh meiN
Main Aaj Bikhare Hua TufaaN sa huN

tufaan bhi bikharta hai...?

LiJiye, inhe yeh pata nahi tha... aab to pata chal gaya... thanks kahiye..

Bus Karta Raha Ibadat Koi kami na ki
Kyun Nazar me Apni BeImaan sa huN

sochna padega ...................

Hmm yeh to aapni apni nazar aur ibadat hai aap khud ke bare mein sochiye maine khud ke baare mein soch liya..

BadalTe WaqT Ko Dekha Jo KwaHisH
Aks Apna Dekh MaiN HairaaN sa huN

main bhi itni achhi ghazal padh kar Hairan hu
aap ki kalam mein din ba din chaand ki chamak nazar aarahi hai

God aapko har taklif se dur rakhe
Youn hi mahfil ko roshan karate rahiye
khus rahiye

aapki dost
Diya
Hmmm, aab lag raha hai ke aap meri gazal ka nahi mera hi tafsira kar rahi thi

Khair aapne jo tarif aur hounsla afzai ki uska tahe dil se mamnoon huN...
aage bhi aapka saath bana rahe yehi dua....

Khush rahiye
apna khayal rakhiye..
Khuda hafez...


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote