View Single Post
Old
  (#23)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
4th September 2015, 10:43 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Harash ji


1. aap jab likhne baith.te hain to kin baaton par jayada gaur krte haiN ?

2. meri nazar meiN har shayar bada nazuk sa dil rahta hai, kya yeh sahi hai ?

3. aksar sun.ne meiN aata hai ki shayar log bade dik-fenk hote hai...kya yeh sahi hai

accha lga aapne profile meiN apni photo lagaye.

Harash ji

chand sawaal aur lekar aaye hu.

1. ab jab aap retire ho chuke hai to aap apna waqt kaise beeta.te hai ?

2. kya aapki dharam-patni ji bhi shuank rakhti hai shayri ka ?


regards
Mohtarma Sunita Virender ji Namaskaar…… Iss Adalat meiN prashnoN ke mutallaq jo silsila shuru hua hai shayad aap be-inteha prashn liye hue haiN .. Khush raheN sada. Chalte haiN aapke sawaaloN par :-

1. aap jab likhne baith.te hain to kin baaton par jayada gaur krte haiN ?

Sunita ji aapka ye swaal hai to chhota sa --- magar ye jitna muktsar sa lagta hai utna hai nahiN – ismeiN bahut se swaal chhipe haiN. Aour sach meiN aap bahoot hi zaheen zahen ki maalik haiN. MaiN aapke is swaal meiN chhipe sabhi swaaloN ke jawaab silsile waar diye deta hooN …..

(i) Aap jab likhne baith.te hain

Sirf Ahsaas—dil meiN jo ahsaas paida hote haiN …….Sunita ji mujhe yaad nahiN ki maiN kabhi khud likhne ke liye baitha hooN…albatta mujhe mere ahsaas jab jhakjhod dete haiN to kalam khud b khud chalne lagti hai …..tabhi sunita ji maiN pahle bhi yahaaN keh chuka hooN ki maiN shayar nahiN hooN main sirf ek likhwaal hooN….

(ii) to kin baaton par jayada gaur krte haiN

Mere zahen meiN jab bhi koi ahsaas uth.ta hai to usey hubahu waise hi apne shabdoN meiN utaarne ki koshish bhar karta hooN…our jab talak mere ahsaas poori tarah na utreN, jis tarah main chahta hooN, merii koshish jaari rehti hai….


IsmeiN chhupa hua ek our swaal jo aap shayad jaan.na chahti haiN…..
Tehreer jab tayyar hoti hai……toh bahr ka kya?


tehreer poori hone par dhyaan Behr ki our uth.ta hai uske baad mind game shuru hoti hai, jisey istemaal karne ki koshish karta hooN our tab tak karta hooN jab take ek sood bhi ahsaas par faraq na padey….lekin agar bahr meiN lane ke liye agar ahsaas badalne padeiN ya unki ahmiyat ya unka asar thoda bhi kam ho ….toh maiN kabhi compromise nahiN karta …….yaqeenan main bahr ka kaayal tab tak hooN jab tak unhiN bhaavoN meiN tehreer baney.

meri har tehreer ko bina rukey gaaya ja sakta hai…ye dhyaan aawashy rakhta hooN….

Meri is baat se shayad aapko ittefaaq na ho…..

sher sirf un do misroN ko hi nahiN kahte jo bahr meiN hoN wazn meiN hoN. Meri nazar meiN Sher aisa ho jo dil ko chhoo jaaye. Usmen kuch aisi baat honi chahiye. Har sher ka koii matlab hona chaahiye.. DonoN misroN meN rabt hona chahiye. Agar sirf bahr men do misre kah liye koii matlab nahiN nikla jo aajkal ke nav shayar kehne meiN vyast haiN sirf 1,2, 1, 2 ya laghu guru aadi aadi …karte nazar aate haiN….

Sirf yahi dhyaan rakhne ki koshish bhar karta hooN…..


2. meri nazar meiN har shayar bada nazuk sa dil rahta hai, kya yeh sahi hai ?

Jo insaan Naazuk dil nahiN hai wo kabhi bhi shayar nahiN ho sakta ya sirf likhwaal bhi nahi ho sakta …sanvednaayeiN uski dharohar hoti haiN…..wo apni rachnaoN ke saath ghantoN hansta bhi hai our Rotaa bhi hai.

3. aksar sun.ne meiN aata hai ki shayar log bade dik-fenk hote hai...kya yeh sahi hai

Aapke is swaal ka jawaab kis lahze meiN dooN -----ye toh apne aap meiN hi be-maani sa hai….. koi bhi ahsaas ko kahna our shayri meiN kehna … jo sach hai jahaN se Ghazal ki utpatti hui wo to yahi kahti hai….shayrii ka astitv hi do pyaar karne waaloN ke beech meiN vaarta laap se hai …so pyaar karne waaloN ke dil se ye swar lehriyaaN nikalti haiN our aapas meiN exchange hoti haiN. Lekin aajkal ye shayri har subject meiN utarni shuru ho chukii hai ….

Kuch log shayar na ho kar dil phenk hoN wo alag baat hai 



4. ab jab aap retire ho chuke hai to aap apna waqt kaise beeta.te hai ?

Saamajik kaaryoN meiN vyast rehta hooN….waise adhiktar waqt to bachoN ke paas –jaise maine pahle bhi bataya do betiyaaN haiN …unke bachhe haiN …unke saath bhi waqt beet.ta hai .. logon ki help karna acchha lagta hai….


5. kya aapki dharam-patni ji bhi shuank rakhti hai shayri ka ?


HaaN sirf itna – merii job hi tehreer hoti hai usey padne ka shouq hai unheN, lekin likhne ka hunar unmeiN nahiN hai aisa wah kahti haiN.



Umeed karta hooN mere jawaab aroochikar nahiN hoNge…..

saadar

  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote