View Single Post
Old
  (#58)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
13th April 2015, 10:25 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
wow........... a big woowwwwwwwwwwwwww...

kia hii zaberdast qism ka "silsila" hy Mast bhai ....
muaafi ka talab-gaar hooN ky is haseen safhe ko aaj tak na dekh paya ...

chaleN lafz "jaaN" per meri aik mukhtasar si nazm... :-


mohabbat ki daastaaN

zarra sun toH meri jaaN

ishQ karna nahi asaaN

kabhi karta hai hairaaN

to kabhi karta pashemaaN

rakhta hai ik alag shaaN

nahi is ka koi baaghbaaN

agar ho jaye kisi ko yahaaN

nazroN se haal hota bayaaN

lagta to hai be-zubaaN

per leta hai kayi imtehaaN

hewaaN ko banaye insaaN

yeHi hai ishQ ki shaaN

gar kar le koi iss jahaN

saath rehta hai daaemaaN

teri doori se dil hai pareshaaN

jaaN! maiN yahaN tu kahaN?


daaemaaN : forever
Hassan bhai muqammal si nazm is mehfil mein rakhne ka shukriyaa, behad khoob istemaal kiya hai aapne is lafz ko. Mazaa aa gaya, yunhi is bazm mein shirkat karte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote