View Single Post
Old
  (#16)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
26th October 2007, 12:34 PM

Bauahat naye hein hum abhi talak is forum ke liye ,
Bauahat se log abhi bhi ajnabi hamre liye
bauhat se afraad abhi bhi anjaan
ADDI bhi unhee mein se eik the
magar ...............abhi itifaq se is khabar pe nigah paree to saakit reh gayee dilki hur dharkan,
chehra kab ansoun se bheega nai pata chala ,
halke halke kaanp raha hai jism sara ,
itni kamumri mein yun sab ki ankhon ke khaawb bhasm kar ke chalae jana to buahat bure baat hei addi ji ,
maa behnain bhai baap dost ehbaab .................sab ko ap chor gaye sirf dus minx mei n..............
....................................Abhi to is larke ki ankhon ne khawb bhi nahi pooree tarha sajaye hon ge, abhi to umeedon ke diye sahee se roshan bhi na ho paye hon ge , abhi to zindagi ar shuru hoa ho ga
uffffff ajeeb kaifiyat hei abhi dilki Maham ke ..........
Hum nahi jante addi ke yahan kitne dost hie magar jo bhi hein dilse dua hei ke unko Allah himat ata kare ke vo is gham ko seh saken aur Mera Rab unke parents ko unke lawahaqeen ko sabr ata kare


Bass yehee hei zindagi ki dastaan ,

kab warq warq bikhar jaye kaun jaane

kab kaatib e taqdeer uth ke kitaab ko band kar de kiya khabar

Ishee liye AAJ mein ji bhar ke jiya kijiye

Dil bhar ke piyar dijiye

Dil bhar ke karam kijiye apne atraaf mein tamaam logon ke haal pe

Kaun janae aaj jinki posts pe hum reply kar rahe hein

unko javab dene mein bauhat der ho jayae

kaun janae agle mor pe kaun kab bichar jaye

Dil dub sa raha hai buahat gehree udasi ruh mein dar ayee hei

.............................Nahi malum aur kiya Maham kahe

bass itna hee ke piyar dil bhar ke dijiye , kaheen der na ho jaye .................................................. ....
   
Reply With Quote