View Single Post
Old
  (#27)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
7th June 2015, 10:17 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Namaskaar akant jii
Lijiye akant ji kuch sawaal meri taraf se bhi...

1.shayri ki duniya me purane shayrin me se aapke pasandeeda shayar kon hain jinhe padhna pasand karte hon aap aur unke jaisa likhne ka khwaab ho aapka..aur kyun?

1.aapki nazar me shayri kya hai..?

Filhaal itna hee...
fir hazir hoti hoon...
Madhu ji,

namaskaar... hazir hu apane javab ke sath..

shayri ki duniya me purane shayrin me se aapke pasandeeda shayar kon hain jinhe padhna pasand karte hon aap aur unke jaisa likhne ka khwaab ho aapka..aur kyun?

purane shayro ke sankhya thode jyada hain... main abhi un shayro ko khoj ke padhna pasand kerta huun. unke likhi shayri ko padhate huye lagata hi nahi ki hum shayri padh rahe hain.. aisa lagta tha/hai ki hum un jjabaato me pravesh ker gaye jinhe vo shayr apni shayri ke madhyam se likhata gaya.. kavita likhane mein sabse pahale Vipinbox ji ..ka naam sabse pahale lena chahunga... aur unke leval mein aajkal sagar asthana ji likh rahe hain.. shayri likhane vaalo ki list badi hai.. jinke naam chute hain unki shayri main padhata huun..shayd sabke naam na likh pau so ksham keran mere dostoo.. jo shayr mujhe bahut prabhavit kiye hain...
sharaabi (aman), maikash ji, kshitiz ji, mita parekh, meena chedda ji, pari, rimjhim, banno, afshan , sanju (we miss him), manoj kureel, main-meri tanhari, chaand, prasaxena, bedilmusafir, banjara''', (shimul for best hausala aufzaayi)... sagar asthana, pulkit, dhaval, sunita-virender ji, madhu ji, aru.... (list long hai)

sharaabi (aman) ji ki likhi ghazal main padhane mein kabhi pichhe nahi rahata tha.. enki likhi ghazal mujhe bahut prerna di thi.. ya kahiye mujhe en jaisa us samay ( year 2003) ke aas-pas likhana chahata tha... jab se work load mera badh gaya au Kolkata se Kanpur (year 2006) aaya to shayri website per kam aana ho pata.. kuchh internet aur office ke work ki vajah se.. esi liye edhar ke shayro ko kam padh paya..

aapki nazar me shayri kya hai..?

meri najar mein shayri jindagi ke un hashin palo ko jeene ka ehsaas hai. jinhe hum poetry ke madhyam se pesh kerte hain.. aur un shabhi ko jo un palo (love) mein kabhi na kabhi rahe hain.. ko palo ki khushbu se mahkaate hain..
aur shayad hamari shayri website ka mool mantra bhi yahi hai.. emotion through expression...

Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote