View Single Post
hmm
Old
  (#52)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hmm - 11th June 2015, 10:42 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Akant ji aap kaa interview padhaa , bahut kuch aapke baare me jaan ne ko mil rahaa hai....

aapse chand sawaal mere bhi hain.....

1) aapki nazar me wo kon si ek baat ya pahal hai jo sdc ki behateree ke liye ki ja sakti hai....

2) aapki zindagee me SDC na hotee to kya hotaa....

3) kaisi shayrii aapko pasand hai, kyaa gahlib ka classical style ya meer ke muhabbat bhare aashar ya fir aaj kal ke shaayro ko padhna accchaa lagta hai jisme samaaj ki buraaiyon ka chitran kiya jaata hai.....


shukriyaa

Shaad...
Dear saad ji,
namaskaar.... haazir hu aapke saamne..javabo ke sath..

1) aapki nazar me wo kon si ek baat ya pahal hai jo sdc ki behateree ke liye ki ja sakti hai....

Aapka bahut bahut dhanyvaad jo aapne mere man ka question puchha… main jitana shayri website ke bare me janta hu.. ya kahu ki padha hu.. mujhe aisa lagata hai ki moderator apane kaam shayd sirf hausala aufzaayi ka hi kerte hain aajkal.. agar koi sahi likhe ya galat likhe to uske hausla aufzaayi ke sath uski likhi shayri per solid comment hone chahiye ki vah kya sahi likha ya kin-kin shabdo mein pher badal ker diye jay to uski likhi shayri mein aur adhik nikhaar aa jayega. (if anybody hurts I m sorry..its my personnel opinion) Main jab shayri website se juda tha us samay es tarah ki cheeje ki jaati thi.. aur meri baato se dhaval bakhubi sahamat honge.. unke likhi shayri mein kabhi kabhi kuchh sabdo ko parivertit kerne ke liye kehata tha. Mera sabhi likahne vaalo se sirf ek hi mantra share kerna tha ki shayri likhane mein kam shabdo mein jyada baat kahi jaay.. aur koshis Karen ki shabd repeat kam se kam ho..

Shayri website se jude member khasker purane member se sampark banaya jay ki vo apani rachanaaye bhejte raheN..

Moderatoro se mera anurodh hai ki eska dhyan rakhe ki kisi likhi shayri ko uske hi naam se post ki jay.. jitani achchhi aap editing karenge utani hi achchhi shayri banegi.. aur haa achchhi shayri hi shayri website ko achchhe paaydaan per le jayegi.. anyathaa log kuchh pal share kerne ke baad dusera raasta khojane lage hain..

Aaj whatsapp aur facebook ka jamana chal raha hai.. shayri website ko apana bhi shayriapps banana chahiye.. jisse ki eski adhik se adhik logo ke beech pahunch bane..

2) aapki zindagee me SDC na hotee to kya hotaa....

to shayad main shayr nahi banata.. yah mera shauk bahut pahale hi murjhaa gaya hota…

3) kaisi shayrii aapko pasand hai, kyaa gahlib ka classical style ya meer ke muhabbat bhare aashar ya fir aaj kal ke shaayro ko padhna accchaa lagta hai jisme samaaj ki buraaiyon ka chitran kiya jaata hai.....

Mujhe to prerak shayri jyada pasand hain.. chaahe vo ghum ki ho, khushi ki ho yaa samaj ke uTthaan ki ho.. mujhe vo shayri jyaadaa pasand hai jo jitani asaani se sabki samajh me aa jaay.. vaise samaj ka ek behad khubsurat najariya hai ki agar shayri hai to mohabbat jarur hogi.. esliye meri shayri mein kahi na kahi muhabbat jarur judi hoti hai.. yah sach hai ki muhabbat ki vajah se hi log sabase pahale shayri ki duniya mein aate hain.. chaahe vo pal bher ki muhabbat ho yaa taummra sath rahane ki..



Shubhakamanaao sahit,
Akant…


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote