View Single Post
Old
  (#70)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
17th June 2015, 12:32 AM

Quote:
Originally Posted by akant View Post
Dear Madhu ji

Namaskaar..

Der se reply de paa raha hoon so khed hai…

Shayri ki duniya me mahila shayr ko kin kin mushkilo ka samna kerna padata hai ke bare me mujhase behatar aap khud samajh sakati hai ek shayra hone ke naate… per mujhe jo samajh aata hai ki ek mahila hone ke naate sambhavtah kya kya muskile aati hogi use bayan ker raha hoon.

Ek mahila shayr ko sach kahu to kai saari mushkilo ka samana kerna padta hoga…


1. Shayra ke ghar ke logo dwara ghar me hi demoralize kiya jana (exceptions may be)

2. Laaj ke saare karm shayra hone ke naate hi jyada nibhaane ko badhya hona padta hoga.

3. Shayri likhane ke naate shayad logo ka public plateform per vo mukaam/samman ka na diya jana jo ek purus shayr ko prapt hota yaa milata hai..

4. Mahila ke aazaad kheyaal ko kam.. usake mahila hone ke daayre ki najariye se dekha jaata hai.. shayd yahi vajah hai ki use aajaad kheyaal ki value kam hoti hai… ya kahu ki.. kahi pe nigaahe kahin per nisaanaa hota hai..

5. Mahila ko khud ko samaaj ke saamane vyakt kerna kattayi ghalat nahi hai.. ek mahila ke kaaran hi duseri mahila ko sahi aur ghalat ke daayre me aankaa jaata hai.. ya kahu ki purus ke verchasv me anavashyak hashtakshep hota hai.. jise vo khushi man se sweekar nahi kerta.. yahi vajah hai aazaad kheyaal per prashnchihn (?) lagata hai..

6. Mujhe lagta hai ki hamaare samaaj me mahila ko aage ya kahu aazad kheyaal banne ke liye aatmnirbhar hona kahi jyadaa jaruri hai. Agar aap aatm nirbhar hongi to apani baat bebaaki se kah shakti hai…ya kahu ke shayri ke madhyam se apani prabal upasthiti darj ker sakti hai.. aksar finance, jeevan mein vyakti ko kamjore (deemak lagane ki tarah khokhala) bana deta hai.. esliye aatm nirbhar bane..

7. Hamaare samaaj me abhi bhi purus ke anusaar hi bahut kuchh tay kiya jata hai.. aur es karyvaahi mein ghar ki mahilaaye bhi utana hi sahyog kerti hai jitana ki purus.... jaise ki ghar me beti paida hoti hai to.. ghar me bahut kam jagah khushi manaayi jaati hai jabki beta paida hone per sab jagah chahe vo purus ho ya mahila dono dwara khushi khushi baate share ki jaati hai.. yah hamaare samaaj ka najariya hai.. yah kaDava satya hai..


Akant…

Shukriya jawaab dene ke liye akant jii...
bilkul main behtar samajhti hoon is samaaj me ek mahila ki pareshaniyon ko...magar kyun ki interview aapka hai to bas aapke views janna chahti thi...

3. Shayri likhane ke naate shayad logo ka public plateform per vo mukaam/samman ka na diya jana jo ek purus shayr ko prapt hota yaa milata hai..

Kya sach me aisa hai.....??

kahi pe nigaahe kahin per nisaanaa hota hai..

Ye baat kuch samajh nahi aayi...


hai.. ya kahu ki purus ke verchasv me anavashyak hashtakshep hota hai.. jise vo khushi man se sweekar nahi kerta.. yahi vajah hai aazaad kheyaal per prashnchihn (?) lagata hai..

To ye to poori tarah se purush ki kamzor mansikta ka prateek hai agar vo aisa sochte hain..

kahu aazad kheyaal banne ke liye aatmnirbhar hona kahi jyadaa jaruri hai.

Main manti hoon aatmnirbhar hona zaroori hai...magar shayri ek hunar hai...aur iska kisi ki bhi financial condition se koi lena dena nahi hota...kisi bhi shayar (male or female) ko khud ko vyat karne ka hak uske self dependent hone ki kasauti par nahi aanka ja sakta....

Kisi debate me nahi padna chahti main..ye bas mere apne vichaar hain...

Fir hazir hoti hoon jald hee....

Tab tak ke liye all d best...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote