View Single Post
Old
  (#15)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
17th May 2015, 03:56 PM

Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab…..!
Dosto Aik Tarhee Ghazal Pesh Hai, Apni Aaraa Se Zaruuuur Nawaaaziye Ga….

"ZAIR-E-LAB WO MUSKURAATA SHUKRIA ACHA LAGA"

Pattharon Ke Dais Me Mujhko Bhi Kia Acha Laga
Aik Naazuk Sa Khilona Kaanch Ka Acha Laga

Kia Kahun Main Ay Dil-e-Nadaan Tere Bakht Ko
Saari Dunia Me Tujhay Wo Be-Wafaa Acha Laga

Apne Dil Ka Dard Saara Main Ne Us Se Keh Dia
Muddaton Ke Baad Mujhko Aayina Acha Laga

Uski Aankhon Me Thi Janay Aaj Kia Waaraftagi
Dil Ko Uska Dair Tak Wo Dekhna Acha Laga

De Gaya Mujhko Qareena Zindagi Ka Dosto
Aandhiyon Ke DarmiyaaN Hansta Dia Acha Laga

Gham-zada Logon Me Ahmad Muskurahat Baantna
Zinda Rehnay Ke Liye Ye Mashghala Acha Laga

AHMAD ALI SHAKIL

Ahmed Shakil saheb, adaab !

Jenab ko pehli dafeh paDh raha huuN, aur yeh soch raha huuN ke aapko pehle kyun nahi paDha maine.
Nacheez kuchh comment kare aapki iss lajawaab peshkash par, khud ko iss qaabil nahi samajhta.
Bas dheron daad aur duaayeiN qubool farmaayeiN.
Mehfil ko intezaar rahegaa aapki nayi peshkash ke saath aamad ka.
Khair andesh


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote