View Single Post
~*Shayad wo mere shahar mein aa gaye haiN*~
Old
  (#1)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
~*Shayad wo mere shahar mein aa gaye haiN*~ - 22nd November 2008, 09:56 PM

DostoN aadab,
Ek arse ke baad aaj jab kisi ke khyaal main dil dooba to fir bus dil ke khyaalon ne ek gazal ki
shakl akhtiyaar kal lii… baar baar mere zehan main ye sher khoundhne laga…

Jab kabhii chhaa jate hain badloN ki tarah tumhaare khyaal
Kahan tak samhaaloon khud ko ki main aakash to nahi…….
.


Uske hii khyalon kii aahat per maine kuch likhne ki koshish kii hai
Mu’lahiza farmaiyega………… Shukriya

Aapka Dilip



Fir tadap utha dil fir wo yaad aa gaye haiN
Uske hi khayaal fir dil par chhaa gaye haiN

Kal se kaleje mein ek hook sii uthne lagi
Shayad wo mere shahar mein aa gaye haiN

Dard jo uth raha hai use main kya naam doon
Wo khud hi to mujhe begana bana gaye haiN

Ajeeb sii khamoshii hai mere in Labo.n par
dil ka haal mere aansoo deekha gaye haiN

Ab aur kis baat ka intzaar hai tere dil ko
sare khaab 'Dilip', tum par luta gaye haiN
-
Dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote