View Single Post
Old
  (#6)
kunal_ngh
diLJala
kunal_ngh is on a distinguished road
 
kunal_ngh's Avatar
 
Offline
Posts: 11
Join Date: Nov 2009
Location: ambala
Rep Power: 0
10th December 2009, 09:29 AM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Doston,
aur ek adna si koshish kar rahi hu kuch likhne ki... umeed hai har baar ki tarah is baar bhi aap mere in ehsaason pe ek nazar zaroor dalenge.... aapki raay ki muntazir hu.....

ae kaash, teri yaad ne pal pal dil ko sataya naa hota,
ae kaash, humne tanhaiyon ka jahan aazmaya naa hota..


ek sirf tujko hi to tut ke chaha tha humne,
ae kaash, mere sar koi ilzaam tumne lagaya naa hota..


use maloom tha uske chhute hi mai bikhar jaungi,
ae kaash, apni hasti ko humne khaak banaya naa hota..


teri yaadon ke samander me mauj uthne lagi hai,
ae kaash, apne dil ke jazeere ko usme dubaya naa hota..


mere dil ki kisi sadaa pe wo ruka hi kab tha,
ae kaash, khud usne bewafai ka yakeen dilaya naa hota..


uske ghum me har shab hum par kayamat si guzri,
ae kaash, itni shiddat se usne dil ko tadpaya naa hota..


mere sirf ek sawaal pe uske sare lafz hi kho gaye,
ae kaash, uski khamoshi se humne jawaab paya naa hota..


ab ki baar kuch naa puch payi usse uske haal ke baad,
ae kaash, is takalluf se wo milne aaya naa hota..


andhero me duba hai ab to meri umeed ka aaftaab,
ae kaash, humne muhabbat ka diya jalaya naa hota..


sunana tha use par raaz hi raha haal-e-dil mera "Lamha",
ae kaash, Khuda ne meri zindagi ka suraj bujhaya naa hota..


************************************************** ****
accha Lga aPka haal-e-dil JaaN kr......
aisa lga jaise apne mera haaL-e-Dil byaaN kr dia ho
AApki GhazaL huMe kaaFI PasaNd aYi.....
aise hi Likhte rahiYe ga.......
Take care.....


Darbadar bhatakte phirte hain....
manzil nhi milti...
shayad ye hamari hi galtiyon ki sza hai....
pehle woh humein dhundte the...
ab wo humein nhi milti....

http://www.thomascook.com/images/caimages/landing/200x100/indian-flag.jpg

ApKA ApNA KuNaL...
  Send a message via Yahoo to kunal_ngh  
Reply With Quote