View Single Post
Old
  (#105)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
29th October 2015, 08:51 AM

Kunal Bhai,

Aap ki interview ke dauran maine kuch baateiN dekhi jo kehna chahunga ,
aap inhe positively lena pls .

1. Aap ek soft hearted insaan ho jo her kisi pe bharosa ker lete ho jaldi
aur jab vo bharosa tor deta hai tau aap bahut zyada khafa ho jaate ho.

2. Aap ke ander bahut zyada conflict aur kerwahat hai ..shyad waqt aur halat
ne aap ko vo sab nahi diya jiske aap layak the .. aisa kyuN.

3. Aap bahut zyada dominating nature ke ho aur apni baat ko uupar rakhne
believe kerte ho . thora blunt ho . Agressive hona buri baat nahiN per sath meiN thora sa diplomatic bhi hona chahiye .


Ek sawal poochna chahta huN ki jab koi insaan apne ilm meiN massarat
( profiency ) haasal ker leta hai aur learned ban jata hai tau use kis tarah
se us ilam ko batna chahiye ....

Doosra maiN umr meiN tum se senior hooN 54 now ...Ek baat samajhna chahta huN ki aaj ki generation itni restless kyoN hai ...aur sub kuch jaldi se paane ki hor meiN kyoN lagi hai ..
Kya opportunities kum haiN , ya competetion zyada hai , ya current generation ki desires/ expectaions bahut zyada hai zindagi se.

Kunal meri kisi bhi cheez ko personal mat lena , maiN bhi tumhari umr meiN ne bahut agressive tha , ambitious tha , per waqt ne yahi samjhaya ki

Life is not a race but a journey where each step is to be savoured .

I wish you all the best in life .

Regds

Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 29th October 2015 at 08:55 AM..
   
Reply With Quote