View Single Post
Dil Masroor Rahe Taa-umr Gar Paas Rahe Woh Nau-bahaar-e-naaz....!!
Old
  (#772)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Love Dil Masroor Rahe Taa-umr Gar Paas Rahe Woh Nau-bahaar-e-naaz....!! - 26th August 2014, 12:33 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
waah! Hassanbhai, bahot khub....
vaise, on a lighter note, ye banjaaran hai kaun?
Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Aaaahahahahahaha ..... bakaayda back ground music ke saath romantic scene picturise kiya hai Hassan sahab !! Kya baat hai !! Waah waah waah !! Waise banjaaran se mulaaqaat nasheb mein huwee ya faraaz par ??
Quote:
Originally Posted by ananthpak View Post
Waaaaaaahhhhhhhhhhh!!!! Hassan bhai...bohat khoob...pure hindi filmo wala setup lag raha hai...dheron daad
guzre haiN zeest meiN janay kese kese nasheeb-o-faraaz
zikr hua hai to batlaatay haiN kese hua pyar ka aaghaaz

pan-ghat pe mili alhad si mutyaar, jis pe hum dil the gaye haar!
Qurbat hi faQt matloob rahi, dil meiN kabhi rakhi na koi aaz

faQt : only, just
aaz : desire

tamaam lawaazim us ke rakhe apne sir pe aur chal pad’ay!
dar tha woH uktaa na jaye raste meiN, hum ban gaye laffaaz

lawaazim : baggage
laffaaz : one who talks too much

lazim tha ke zindagi ik dosray ka aasra ban ke basar karte
kiya waada, rakheN ge aise aap ko jese aap koi Khuda-saaz

Khuda-saaz : God’s gift

‘parStaar’ naazaaN hai bohat apne pyar pe aur ba-zidd hai ke!
dil masroor rahe taa-umr gar paas rahe woH nau-bahaar-e-naaz

naazaaN : proud, arrogant
taa-umr : life long
nau-bahaar-e-naaz : lover


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote