12th July 2014, 08:22 AM
Zarra sahib.....wazn giraane Ka qaaida hai ki agar lafz Alif par khatm ho rahaa ho lekin WO Hindi lafz ho ( esp.Verb ) to wazn giraaya ja sakta hai...lekin agar Lafz..Arabic ya Persian ho to ..uska wazn nahi giraya Jana chahiye.....lekin Urdu shaairi Ke tamaam diigar usoolaat ki tarah iska bhi sakhti se amal nahi kiya jaata....missal Ke taur par aapne Ghalib sahib Ka Jo Pahla sher likha hai...usme hi...alif ki aawaz ko giraya gaya hai....yu'n samajh le iska wazn 2x hai
|