View Single Post
Re: mere ho jaao to..
Old
  (#2)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: mere ho jaao to.. - 15th August 2004, 09:33 AM

zara sa nakaab tum uthaao to
tum hasin ya 'chaand' dikhaao to
badi fursat mein banaaya hai tumhe
kaun ho khuda kuch bataao to
'maikash' ka dil atka na mile to kehna
en gesuyon ki uljhane suljhaao to

zulfon se aage baat badhaao to
gulaabi naino mein zara basaao to
khuli palkon mein dikhtaa naam humhe
band aankhiyon se nasha badhaao to
nazuk kadmo ko kamoshi se dil par rakhna
arz itna hai dil tum humse zara lagaao to
arz itna hai dil tum humse zara lagaao to
baat nazuk hai ishaaron mein samajh jaao to
arz itna hai dil tum humse zara lagaao to

Waah Waah Waah!

Anu kya baat hai! Bahut hee dilkash yeh nagma sa tumne likha hai...yoon tau saara kalaam hee behtar hai...lekin yeh line dil ko chuu gayi...aur isse ek baar nahin do baar nahin ...bahut baar padhaa

nazuk kadmo ko kamoshi se dil par rakhna

dil raundo magar nazaakat se..waah! Daad kabool kijiey janaab...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote