View Single Post
Re: meree ankh bheegee hai teree ankh main panee hai
Old
  (#6)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
Re: meree ankh bheegee hai teree ankh main panee hai - 1st February 2006, 06:30 AM

Quote:
Originally posted by masoomshayer
sach main ye meree khwahish thee
tumharee ankhon se girte har ansoo ko
honthon se chunta
main taron ko chandnee main piro kar
tumahree raton ke liye sapne bunta

main bar bar kahata tum se
tum meree sanson ka hissa ho
mere zindgee kee zimmedaree ho
tum main har khushee mujhe uganee hai
tum mera khet ho meree kyaree ho
ye meree khwashih to thee
par ye haq tum ne mujhe nahee diya
aur aisa nahee ke kisee ek pal ko
mujhe pyar nahee kiya
pyar to kiya par pyar ko pahare main rakh diya
tum ne apne har sapne ko anchal se dhak diya

tum mere tumahre beech ka
fsala parhtee raheen
tum pyar karane se
har pal dartee raheen

sach to ye hai
pyar mujh main bhee uga hai
tum main bhee kaheen hai
fasala to bas kagaz pe hai
ye fasala to fasala bhee nahee hai

aur ham ek kaghaz ka
fasala nibhaye jate hain
par ye bhee sach hai
tumahre ansoo meree
ankhon main paye jate hain

zindgee ke baad bhee zindgee atee hai
us zindgee main nzadeekiyan itnee bharoonga
ke har dard mang sakoon
tuamhree ek raat kee neend ke liye
hazar hazar rat jag sakoon
subah tum jano ki
mere god main sar rakh ke tum
rat bahr sotee rahee ho
subah tum jano main tumhara hee to hoon
phir kyon rat rat bahr rotee rahee ho
ye sab magar aglee zindgee kee baten hain
ane wale kal kee rate hain

aj jo bhee hai khwahish hai
kahanee hai
ham door hai ham jante hain isee liye
meree ankh bheegee hai
teree ankh main panee hai

Anil
whwwwww bhaut hi achha likha hai anil ji aapne sach mai itna dard duri ho to aankh beehgi hi hogi .
dua karti hoon ki aap ki aankhe kabhi nam na ho
aapki dost
shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote