" Badalna Hoga " -
3rd September 2002, 01:57 PM
==============================================
==============================================
Main dekh raha hoon
bhook oogal rahi hai galiyon bazaaron mein,
Main dekh raha hoon
dhoond rahi hai bekari kafan mazaaron mein,
Main dekh raha hoon
kala ban gayi hai tizoriyon ki chaabi,
Main dekh raha hoon
itihaas kaid hai chaandi ki deewaron mein,
Main dekh raha hoon
doodh oogalne wali dharti pyasi hai,
Main dekh raha... har darwaje per chayi maut udaasi hai,
Main dekh raha... mutthi bhar daane per bikta Sindoor khada,
Main dekh raha ...har subah suraj ke ghar sanyasi hai.
Main dekh raha ...iss dharti ke maalik darinde hain.
Kyon bech daali hai tune yeh dharti kuch saitaanon ko?
Bechnee thi har gali tujhe sirf Insaano ko.
......Khud mit jaoonga ya, yeh sab saamaan badalkar chorunga,
Insaan hai kya main duniya ka Bhagwan badalkar chorunga.
Main unhe chaand doonga jinke ghar nahin sitaare jate hain,
Main unhe hansi doonga jinke ghar phool nahin hans paate hain.
Main unka teerath hoon jinke pairon ki mitti Kaashi hai,
Main unka saawan hoon jo Registaano se haath milate hain.
Tujhse koi dushmani nahi bas itna kehna hai mera,
Woh sabhi hanse jo roye hain, woh sabhi jage jo soye hain.
Gar yeh na hua sachmooch,
Tow Teer-Kamaan badalkar chorunga,
Insaan hai kya main duniya ka Bhagwan badalkar chorunga.
==============================================
==============================================
विपिन
|